Table of Contents
Jab Zara Tez Hawa Hoti Hai
Nasir Kazmi Urdu Poetry
jab zara tez hawa hoti hai
kaisi sunsaan fiza hoti hai
جب ذرا تیز ہوا ہوتی ہے
کیسی سنسان فضا ہوتی ہے
humne dekhay hain wo sannate bhi
jab her eik saans sada hoti hai
jab her eik saans sada hoti hai
ہم نے دیکھے ہیں وہ سناٹے بھی
جب ہر اک سانس صدا ہوتی ہے
dil ka ye haal hua tere baad
jaisay weeran sara hoti hai
دل کا یہ حال ہوا تیرے بعد
جیسے ویران سرا ہوتی ہے
roona aata hai humain bhi lekin
is mein tauheen-e-wafa hoti hai
رونا آتا ہے ہمیں بھی لیکن
اس میں توہین وفا ہوتی ہے
muun andhere kabhi uth kar dekho
kya tar-o-taazah hawa hoti hai
منہ اندھیرے کبھی اُٹھ کردیکھو
کیا تروتازہ ہوا ہوتی ہے
ajnabi dheyan ki her mauj k saath
kis qadar taiz hawa hoti hai!
kis qadar taiz hawa hoti hai!
اجنبی دھیان کی ہر موج کے ساتھ
کس قدر تیز ہوا ہوتی ہے
ghum ki be-noor guzar-gahon mein
eik kiran zauq-e-fiza hoti hai
غم کی بے نور گزر گاہوں میں
اک کرن ذوق فزا ہوتی ہے
gulshan-e-fikar ki muu band kali
shab-e-mehtaab mein waa hoti hai
گلشنِ فکر کی منہ بند کلی
شبِ مہتاب میں وا ہوتی ہے
jab nikalti hai nigaar shab gul
muu pe shabnum ki rida hoti hai
جب نکلتی ہے نگارِ شبِ غم
منہ پہ شبنم کی ردا ہوتی ہے
haadsa hai k khizaan se pehle
boo-e-gul, gul se juda hoti hai
حادثہ ہے کہ خزاں سے پہلے
بوئے گل ، گل سے جدا ہوتی ہے
eik naya daur janam leta hai
eik tehzeeb fana hoti hai
اک نیا دور جنم لیتا ہے
ایک تہذیب فنا ہوتی ہے
jab koi ghum nahi hota Nasir
bekali dil ki sawa hoti hai
جب کوئی غم نہیںہوتا ناصر
بے کلی دل کی سوا ہوتی ہے