Table of Contents
Jab Uski Tasveer Banaya Karta Tha
Tehzeeb Hafi Poetry
Jab uski tasveer banaya karta tha
Kamra rangon se bhar jaaya karta tha
جب اس کی تصویر بنایا کرتا تھا
کمرا رنگوں سے بھر جایا کرتا تھا
Pedh mujhe hasrat se dekha karta tha
Main jangal me paani laaya karta tha
Main jangal me paani laaya karta tha
پیڑ مجھے حسرت سے دیکھا کرتے تھے
میں جنگل میں پانی لایا کرتا تھا
Thak jaata tha baadal saaya karte-karte
Aur phir main baadal pe saaya karta tha
Aur phir main baadal pe saaya karta tha
تھک جاتا تھا بادل سایہ کرتے کرتے
اور پھر میں بادل پہ سایہ کرتا تھا
Baitha rehta tha saahil pe saara din
Dariya mujhse jaan chhudaya karta tha
Dariya mujhse jaan chhudaya karta tha
بیٹھا رہتا تھا ساحل پہ سارا دن
دریا مجھ سے جان چھڑایا کرتا تھا
Bint-e-sehra rootha karti thi mujhse
Main sehra se ret churaya karta tha
Main sehra se ret churaya karta tha
بنت صحرا روٹھا کرتی تھی مجھ سے
میں صحرا سے ریت چرایا کرتا تھا