Table of Contents
Jab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud ‘Agaahi
Khulte Hain Ghulamon Par Asrar-e-Shehanshaahi
جب عشق سکھاتا ہے آداب خود آگاہی
Attar Ho, Rumi Ho, Razi Ho, Ghazzali Ho
Kuch Hath Nahin Ata Be Aah-e-Sahargaahi
عطارؔ ہو رومیؔ ہو رازیؔ ہو غزالیؔ ہو
Naumeed Na Ho In Se Aey Rahbar-e-Farzaana
Kamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi
نومید نہ ہو ان سے اے رہبر فرزانہ
Aey Taa’ir-e-Lahooti! Uss Rizq Se Mout Achchi
Jis Rizq Se Aati Ho Parwaaz Mein Kotaahi
اے طائر لاہوتی اس رزق سے موت اچھی
Dara-o-Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aula
Ho Jis Ki Faqeeri Mein Boo-e-Asadullaahi
دارا و سکندر سے وہ مرد فقیر اولیٰ
Aa’een-e-Jawan Mardaan, Haq Goyi-o-Bebaki
Allah Ke Sheron Ko Aati Nahin Roobaahi
آئین جواں مرداں حق گوئی و بیباکی
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO