Itney Mukhtalif Kyun Hein Faislon Ke Paymaaney
Itney Mukhtalif Kyun Hein Faislon Ke Paymaaney
Ham Karein Toh Dehshat-Gard, Tum Karo To Deevaaney
اتنے مُختلف کیوں ھیں فیصلوں کے پیمانے
ھم کریں تو دھشت گرد ! تُم کرو تو دیوانے
Tum Tou Khoon Ki Holi Khail Kar Bhi Ho Maasoom
Qatal Bhi Kiey Tum Ne, Jurm Bhi Nahin Maaney
تُم تو خون کی ھولی کھیل کر بھی ھو معصُوم
قتل بھی کیے تُم نے، جُرم بھی نہیں مانے
Is Liey Banaaya Hai Ghar Ke Paas Qabristan
Roz Jaana Parta Hai Kitni Laashein Dafnaaney
اس لیے بنایا ھے گھر کے پاس قبرستان
روز جانا پڑتا ھے کتنی لاشیں دفنانے
Aik Qatal Karta Hai, Aik Qatal Hota Hai
Waaqia Bas Itna Hai, Baaqi Sab Khuda Jaaney
ایک قتل کرتا ھے، ایک قتل ھوتا ھے
واقعہ بس اتنا ھے، باقی سب خُدا جانے
Aik Din Toh Aaein Gey Sab K Saamney, Faris !
Zulm Ke Sabhi Qissey, Sabar Ke Sab Afsaaney
ایک دن تو آئیں گے سب کے سامنے فارس
ظلم کے سبھی قِصّے، صبر کے سب افسانے
Poet: Rehman Faris
Hum Ne Be-Parda Tujhe Ae Mah-Jabeen Dekh Liya
Dar Hai Jo Mujh Ko Bhala Tujh Ko Woh Dar Thodi Hai
Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jata Hai – Noshi Gilani
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO