Iss Se Pehle Keh Bewafa Ho Jayein – Ahmad Faraz Poetry
Iss se pehle keh bewafa ho jayein
Kyun na aye dost hum juda ho jayein
اس سے پہلے کہ بے وفا ہوجائيں
کيوں نہ اے دوست ہم جدا ہو جائيں
Tu bhi hire se ban gaya patthar
Hum bhi kal jaane kya se kya ho jayein
تو بھي ہيرے سے بن گيا تھا پتھر
ہم بھي جانے کيا ہو جائيں
Tu ki yakta tha be-shumar hua
Hum bhi tuten to ja-ba-ja ho jayein
تو کہ يکتا بے شمار ہوا
ہم بھي ٹوٹيں تو جا بجا ہوجائيں
Hum bhi majburiyon ka uzr karen
Phir kahin aur mubtala ho jayein
ہم بھي مجبوريوں کا عذع کريں
پھر کہيں اور مبتلا ہو جائيں
Hum agar manzilen na ban paye
Manzilon tak ka rasta ho jayein
ہم اگر منزليں نہ بن پائے
منزلوں تک کا راستہ ہو جائيں
Dair se soch mein hain parwane
Rakh ho jayen ya hawa ho jayein
دير سے سوچ ميں ہيں پروانے
راکھ ہو جائيں يا ہوا ہوجائيں
Ishq bhi khel hai nasibon ka
Khak ho jayen kimiya ho jayein
عشق بھی کھیل ہے نصیبوں کا
خاک ہو جائیں کیمیا ہو جائیں
Ab ke gar tu mile to hum tujh se
Aise lipten teri qaba ho jayein
اب کے گر تو ملے تو ہم تجھ سے
ايسے لپٹيں کہ قبا ہو جائيں
Bandagi hum ne chhod di hai Faraz
Kya karen log jab khuda ho jayein
بندگي ہم نے چھوڑ دي فراز
کيا کريں جب لوگ خدا ہوجائيں
Read More:
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega – Ahmad Faraz Poetry
Rahiye Ab Aisi Jagah Chal Kar – Mirza Ghalib Poetry
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain – Ahmad Faraz Poetry
Seena Dehak Raha Ho Tou Kya Chup Rahe Koi – Jaun Elia Poetry
Koi Umeed Bar Nahi Aati – کوئی امّید بر نہیں آتی – Mirza Ghalib