Table of Contents
Is Aik Dar Se Khawab Dekhta Nahi
Tehzeeb Haafi Poetry
is aik Dar se Khwab dekhta nahi
jo dekhta hun main wo bhoolta nahi
اس ایک ڈر سے خواب دیکھتا نہیں
جو دیکھتا ہوں میں وہ بھولتا نہیں
kisi mundair par koi diya jila
phir is ke baad kya hua pata nahi
کسی منڈیر پر کوئی دیا جلا
پھر اس کے بعد کیا ہوا پتا نہیں
main aa raha tha raste main phool the
main ja raha hun koi rokta nahi
teri taraf chale to umar kat gai
ye aur baat rasta kaTa nahi
تری طرف چلے تو عمر کٹ گئی
یہ اور بات راستہ کٹا نہیں
is azhdahe ki aankh puchti rahi
kisi ko Khauf aa raha hai ya nahi
اس اژدھے کی آنکھ پوچھتی رہی
کسی کو خوف آ رہا ہے یا نہیں
main in dinon hun Khud se itna be-Khabar
main bujh chuka hun aur mujhe pata nahi
میں ان دنوں ہوں خود سے اتنا بے خبر
میں بجھ چکا ہوں اور مجھے پتا نہیں
ye ishq bhi ajab ki ek shaKHs se
mujhe laga keh ho gaya hua nahi
یہ عشق بھی عجب کہ ایک شخص سے
مجھے لگا کہ ہو گیا ہوا نہیں
Raat Ki Dharkan Jab Tak Jari Rehti Hai – Rahat Indori Poetry
Wo Ek Ek Baat Pe Rone Laga Tha – Rahat Indori Poetry
Yahi Wafa Ka Sila Hai Tou Koi Baat Nahi – Sad Urdu Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO