
Table of Contents
Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se
(Zarb-e-Kaleem)
Imamat
Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se
Haq Tujhe Meri Tarah Sahib-e-Asrar Kare
تو نے پوچھي ہے امامت کي حقيقت مجھ سے
حق تجھے ميري طرح صاحب اسرار کرے
Hai Wohi Tere Zamane Ka Imam-e-Barhaq
Jo Tujhe Hazir-o-Mojood Se Bezar Kare
ہے وہي تيرے زمانے کا امام برحق
جو تجھے حاضر و موجود سے بيزار کرے
Mout Ke Aaeene Mein Tujh Ko Dikha Kar Rukh-e-Dost
Zindagi Tere Liye Aur Bhi Dushwar Kare
موت کے آئنے ميں تجھ کو دکھا کر رخ دوست
زندگي تيرے ليے اور بھي دشوار کرے
De Ke Ehsas-e-Zayan Tera Lahoo Garma De
Faqr Ki Saan Charha Kar Tujhe Talwar Kare
دے کے احساس زياں تيرا لہو گرما دے
فقر کي سان چڑھا کر تجھے تلوار کرے
Fitna-e-Millat-e-Baiza Hai Imamat Uss Ki
Jo Musalman Ko Salateen Ka Prestar Kare!
فتنہ ملت بيضا ہے امامت اس کي
جو مسلماں کو سلاطيں کا پرستار کرے Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar – Allama IqbalWohi Meri Kam Naseebi, Wohi Teri Be Niazi – Allama Iqbal PoetryMusalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka – Allama Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO