
Table of Contents
Huzoor-e-Risalat Maab ﷺ Mein
Bang-e-Dara
Giran Jo Mujh Pe Hangama-e-Zamana Huwa
Jahan Se Bandh Ke Rakht-e-Safar Rawana Huwa
گراں جو مجھ پہ يہ ہنگامہ زمانہ ہوا
جہاں سے باندھ کے رخت سفر روانہ ہوا
Qayood-e-Shaam-o-Sahar Mein Basar To Ki Lekin
Nazam-e-Kuhna-e-Alam Se Aashna Na Huwa
قيود شام وسحر ميں بسر تو کی ليکن
نظام کہنہ عالم سے آشنا نہ ہوا
Farishte Bazm-e-Risalat ﷺ Mein Le Gye Mujh Ko
Huzoor-e-Aya-e-Rehmat ﷺ Mein Le Gye Mujh Ko
فرشتے بزم رسالت ﷺ ميں لے گئے مجھ کو
حضور آيہ رحمت ﷺ ميں لے گئے مجھ کو
Kaha Huzoor ﷺ Ne, Ae Andleeb-e-Bagh-e-Hijaz!
Kali Kali Hai Teri Garmi-e-Nawa Se Gudaz
کہا حضور ﷺ نے ، اے عندليب باغ حجاز!
کلی کلی ہے تری گرمی نوا سے گداز
Humesha Sar Khush-e-Jaam-e-Wila Hai Dil Tera
Fatadgi Hai Teri Ghairat-e-Sujood-e-Niaz
ہميشہ سرخوش جام ولا ہے دل تيرا
فتادگی ہے تری غيرت سجود نياز
Ura Jo Pasti-e-Dunya Se Tu Sooye Gardoon
Sikhayi Tujh Ko Malaeek Ne Riffat-e-Parwaz
اڑا جو پستی دنيا سے تو سوئے گردوں
سکھائی تجھ کو ملائک نے رفعت پرواز
Nikl Ke Bagh-e-Jahan Se Barang-e-Bu Aya
Humare Waste Kya Tohfa Le Ke Tu Aya?
نکل کے باغ جہاں سے برنگ بو آيا
ہمارے واسطے کيا تحفہ لے کے تو آيا؟
“Huzoor ﷺ ! Dehr Mein Aasudgi Nahin Milti
Talash Jis Ki Hai Woh Zindagi Nahin Milti”
حضور ﷺ ! دہر ميں آسودگی نہيں ملتی”
“تلاش جس کی ہے وہ زندگی نہيں ملتی
Hazaron Lala-o-Gul Hain Riyaz-e-Hasti Mein
Wafa Ki Jis Mein Ho Bu, Wo Kali Nahin Milti
ہزاروں لالہ و گل ہيں رياض ہستی ميں
وفا کی جس ميں ہو بو’ وہ کلی نہيں ملتی
Magar Mein Nazar Ko Ek Aabgina Laya Hun
Jo Cheez Iss Mein Hai, Jannat Mein Bhi Nahin Milti
مگر ميں نذر کو اک آبگينہ لايا ہوں
جو چيز اس ميں ہے’ جنت ميں بھی نہيں ملتی
Jhalakti Hai Teri Ummat Ki Aabru Iss Mein
Tarablas Ke Shaheedon Ka Hai Lahoo Iss Mein
جھلکتی ہے تری امت کی آبرو اس ميں
طرابلس کے شہيدوں کا ہے لہو اس ميں
Momin – Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah Naram
Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar – Allama Iqbal
Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda – Iqbal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO