Hum se bhaga na karo door ghazalon ki tarah
Hum se bhaga na karo door ghazalon ki tarah
Humne chaaha hai tumhe chaahane waalon ki tarah
ہم سے بھاگا نہ کرو دور غزالوں کی طرح
Khud bakhud neend-si aankhon me ghul jaati hai
Mahki mahki hai shab-e-gham tere baalon ki tarah
خودبخود نیند سی آنکھوں میں گھلی جاتی ہے
Tere bin raat ke haatho pe ye taaro ke ayaag
Khoobsoorat hai magar zahar ke pyaalon ki tarah
تیرے بن رات کے ہاتھوں پہ یہ تاروں کے ایاغ
Aur kys isse jiyaada koi narmi bartoo
Dil ke zakhmon ko chhua hai tere gaalon ki tarah
اور کیا اس سے زیادہ کوئی نرمی برتوں
Gungunaate hue aur aa kabhi un seeno mein
Teri khaatir jo mahkte hai shiwaalon ki tarah
گنگناتے ہوئے اور آ کبھی ان سینوں میں
Teri zulfen teri aankhein tere abroo tere lab
Ab bhi mashhoor hai duniya mein misaalon ki tarah
تیری زلفیں تری آنکھیں ترے ابرو ترے لب
Hum se mayoos na ho ae shab-e-dauran ki abhi
Dil mein kuchh dard chamkte hai ujaalon ki tarah
ہم سے مایوس نہ ہو اے شب دوراں کہ ابھی
Mujhse nazre to milaao ki hazaaron chehre
Meri aankho mein sulagte hain sawaalon ki tarah
مجھ سے نظریں تو ملاؤ کہ ہزاروں چہرے
Aur to mujh ko mila kya miri mehnat ka sila
Chand sikke hai mire haath mein chaalon ki tarah
اور تو مجھ کو ملا کیا مری محنت کا صلہ
Justjoo ne kisi manzil pe thaharne na diya
Hum bhatkte rahe awaara khyaalon ki tarah
جستجو نے کسی منزل پہ ٹھہرنے نہ دیا
Zindgi! jisko tera pyaar mila wo jaane
Hum to nakam rahe, chaahane waalon ki tarah
زندگی جس کو ترا پیار ملا وہ جانے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO