Table of Contents
Humne Hi Lautne Ka Irada Nahi Kiya
Parveen Shakir Ghazal
Humne hi lautne ka irada nahi kiya
Us ne bhi bhool jane ka vada nahi kiya
ہم نے ہی لَوٹنے کا ارادہ نہیں کیا
اس نے بھی بھول جانے کا وعدہ نہیں کیا
Dukh orrhte nahi jashn-e-tarab main hum
Malbus-e-dil ko tan ka libada nahi kiya
دکھ اوڑھتے نہیں کبھی جشنِ طرب میں ہم
ملبوس دل کو تن کا لبادہ نہیں کیا
Jo gham mila hai bojh uthaya hai us ka khud
Sar zer-e-bar-e-saghar-o-bada nahi kiya
جو غم ملا ہے بوجھ اٹھایا ہے اس کا خود
سر زیرِ بارِ ساغر و بادہ نہیں کیا
Kaar-e-jahan humein bhi bohat thay safar ki sham
Us ne bhi iltifat ziyada nahi kiya
کارِ جہاں ہمیں بھی بہت تھے سفر کی شام
اس نے بھی التفات زیادہ نہیں کیا
Aamad pe teri itr-o-charagh-o-subuu na hon
Itna bhi bood-o-bash ko saada nahi kiya
آمد پہ تیری عطر و چراغ و سَبو نہ ہوں
اتنا بھی بود و باش کو سادہ نہیں کیا
Udaasi Aasman Hai Dil Mera Kitna Akela Hai
Main Hoon Mushtaq-e-Jafa, Muje Pe Jafa Aur Sahi
Us Ke Pehloo Se Lag Ke Chalte Hain – Jaun Elia Poetry
Kuch Iss Ada Se Aaj Woh Pehlo Nasheen Rahe
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO