Table of Contents
Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahi Thay
Urdu Ghazal Poetry
hum tujhse koi baat bhi karne ke nahi thay
imkan bhi haalat sanwarne ke nahi thay
ہم تجھ سے کوئی بات بھی کرنے کے نہیں تھےامکان بھی حالات سنورنے کے نہیں تھے
bhar Dala unhen bhi meri bedar nazar ne
jo zaKHm kisi taur bhi bharne ke nahi thay
بھر ڈالا انہیں بھی مری بے دار نظر نےجو زخم کسی طور بھی بھرنے کے نہیں تھے
ai zeest idhar dekh ki hum ne teri Khatir
wo din bhi guzare jo guzarne ke nahi thay
اے زیست ادھر دیکھ کہ ہم نے تری خاطروہ دن بھی گزارے جو گزرنے کے نہیں تھے
kal raat teri yaad ne tufan wo uthaya
aansu the ki palkon pe Thaharne ke nahi thay
کل رات تری یاد نے طوفاں وہ اٹھایاآنسو تھے کہ پلکوں پہ ٹھہرنے کے نہیں تھے
un ko bhi utara hai bade shauq se hum ne
jo naqsh abhi dil mein utarne ke nahi thay
ان کو بھی اتارا ہے بڑے شوق سے ہم نےجو نقش ابھی دل میں اترنے کے نہیں تھے
ai gardish-e-ayyam hamein ranj bahut hai
kuchh Khwab the aaise ki bikharne ke nahi thay
اے گردش ایام ہمیں رنج بہت ہےکچھ خواب تھے ایسے کہ بکھرنے کے نہیں تھے Kuch Bhi Kar Guzarne Mein Dair Kitni Lagti Hai – Urdu Poetry CollectionHonton Pe Mohabbat Ke Fasane Nahi Aate – Bashir BadrAankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega – Ahmad Faraz PoetrySUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!