
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Table of Contents
Hum Ne Teri Khatir Se Dil-e-Zar Bhi Chorda
Bahadur Shah Zafar
hum ne teri khatir se dil-e-zar bhi chorda
tu bhi na hua yar aur ek yar bhi chorda
ہم نے تِری خاطر سے دلِ زار بھی چھوڑا
تُو بھی نہ ہوا یار، اور اک یار بھی چھوڑا kya hoga rafugar se rafu mera gareban
ai dast-e-junun tu ne nahin tar bhi chorda کیا ہو گا رفُوگر سے رفُو، میرا گریباناے دوست جنوں تُو نے نہیں تار بھی چھوڑا din de ke gaya kufr ke bhi kaam se aashiq
tasbih ke sath us ne to zunnar bhi chorda دِیں دے کے گیا کفر کے بھی کام سے عاشقتسبیح کے ساتھ اس نے تو زنّار بھی چھوڑا goshe mein teri chashm-e-siyah-mast ke dil ne
ki jab se jagah khana-e-khummar bhi chorda گوشہ میں تری چشم سیہ مست کے دل نےکی جب سے جگہ، خانۂ خمار بھی چھوڑا is se hai gharibon ko tasalli ki ajal ne
muflis ko jo mara to na zardar bhi chorda اس سے ہے غریبوں کو تسلی، کہ اجل نےمفلس کو جو مارا، تو نہ زردار بھی چھوڑا tedhe na ho hum se rakho ikhlas to sidha
tum pyar se rukte ho to lo pyar bhi chorda ٹیڑھے نہ ہو، ہم سے رکھو اخلاص تو سیدھاتم پیار سے رکتے ہو تو لو پیار بھی چھوڑا kya chordein asiran-e-mohabbat ko wo jis ne
sadqe mein na ek murgh-e-giraftar bhi chorda کیا چھوڑیں اسیرانِ محبت کو وہ، جس نےصدقے میں نہ اک مرغِ گرفتار بھی چھوڑا
pohanchi meri ruswai ki kyunkar khabar us ko
us shokh ne to dekhna akhbar bhi chorda
پہنچی مری رسوائی کی کیونکر خبر اس کو
اس شوخ نے تو دیکھنا اخبار بھی چھوڑا
karta tha jo yan aane ka jhuta kabhi iqrar
muddat se ‘zafar’ us ne wo iqrar bhi chorda
کرتا تھا جو یاں آنے کا جھوٹا کبھی اقرار
مدت سے ظفرؔ اس نے وہ اقرار بھی چھوڑا Kuch Aise Zakham Bhi Dar E Parda Hum Ne Khaye HainIss Basti Ke Ik Koochey Mein – Ibn e Insha PoetryWo Khwaab Tha Bikhar Gaya – Urdu Sad GhazalMain Hoon Mushtaq-e-Jafa, Muje Pe Jafa Aur Sahi – Ghalib
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO