Hum Ne Har Dukh Ko Mohabbat Ka Tasalsul Samjha
Hum ne har dukh ko mohabbat ka tasalsul samjha..
Hum koi tum they ke duniya se shikayat kartay.!
Ham ne sookhi hui shaakhon pe lahu chidka tha..
Phool agar ab bhi na khilte to khasara kartay.!
Hum agar chup hain to is ko bhi ghanimat jaano..
Hum agar sabr na kartay to qayamat kartay.!
Hum ko maloom hai dushman ke sabhi thikanon ka..
Shareek-e-jurm na hotay to mukhbari kartay.!
Ki muhabat to siyasat ke chalan chhod diye..
Hum agar ishq na karte to hukoomat kartay.!!
ہم نے ہر دُکھ کو مَحَبَّت کا تَسَّلسُّل سمجھا
ہم کوئی تُم تھے کہ دُنیا سے شکایت کرتے
ہم نے سُوکھی ہوئی شاخوں پہ لہُو چھِڑکا تھا
پھول اگر اب بھی نہ کھِلتے__تو خسارہ کرتے
ہم اگر چُپ ہیں تو اِس کو بھی غنیمت سمجھو
ہم اگر صبر نہ کرتے__________تو قیامت کرتے
ہم کو معلوم ھے دُشمن کے سبھی ٹھِکانوں کا
شریکِ جُرم نہ ہوتے________تو مُخبَری کرتے
کی مَحَبَّت تو سیاست کے چلن چھوڑ دئیے
ہم اگر عِشق نہ کرتے_____تو حکومت کرتے
Kitne Mausam Sargardan The Mujhse Hath Milane Mein – UrduNama
Badi Hairat Se Arbab-E-Wafa Ko Dekhta Hun Main – Zameer Jafir Poetry
Ab Udas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein | UrduNama
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO