Table of Contents
Hum Ke Thehre Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Faiz Ahmad Faiz Poetry
Hum Ke Thehre Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Bane Ge Ashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad
ہم کہ ٹھہرے اجنبی اتنی مداراتوں کے بعد
Kb Nazar Me Aye Gi Be Daagh Sabzay Ki Bahar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad
کب نظر میں آئے گی بے داغ سبزے کی بہار
The Boht Bedard Lamhe Khatm e Dard e Ashiqi Ke
Theen Boht Be Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad
تھے بہت بے درد لمحے ختم درد عشق کے
Dil Tou Chaha Pr Shikast e Dil Nay Mohlat Hi Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhee Kar Lete Manajaaton Ke Baad
دل تو چاہا پر شکست دل نے مہلت ہی نہ دی
Un Se Jo Kehnay Gaye The Faiz Jaan Sadqa Kiye
An Kahi Hi Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad
ان سے جو کہنے گئے تھے فیضؔ جاں صدقہ کیے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO