Table of Contents
Hum Jee Rahe Hain Koi Bahana Kiye Bagair
Jaul Elia Poetry
hum jee rahe hain koi bahana kiye baghair
us ke baghair us ki tamanna kiye baghair
ہم جی رہے ہیں کوئی بہانہ کیے بغیر
اس کے بغیر اس کی تمنا کئے بغیر
ambaar us ka parda-e-hurmat bana miyan
diwar tak nahin giri parda kiye baghair
انبار اس کا پردۂ حرمت بنا میاں
دیوار تک نہیں گری پردا کیے بغیر
yaran wo jo hai mera masiha-e-jaan-o-dil
be-had aziz hai mujhe achchha kiye baghair
یاراں وہ جو ہے میرا مسیحائے جان و دل
بے حد عزیز ہے مجھے اچھا کیے بغیر
main bistar-e-KHayal pe leTa hun us ke pas
subh-e-azal se koi taqaza kiye baghair
میں بستر خیال پہ لیٹا ہوں اس کے پاس
صبح ازل سے کوئی تقاضا کیے بغیر
us ka hai jo bhi kuch hai mera aur main magar
wo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair
اس کا ہے جو بھی کچھ ہے مرا اور میں مگر
وہ مجھ کو چاہئے کوئی سودا کیے بغیر
ye zindagi jo hai use ma’ana bhi chahiye
wada hamein qubul hai ifa kiye baghair
wada hamein qubul hai ifa kiye baghair
یہ زندگی جو ہے اسے معنیٰ بھی چاہیے
وعدہ ہمیں قبول ہے ایفا کیے بغیر
ai qatilon ke shahr bas itni hi arz hai
main hun na qatl koi tamasha kiye baghair
main hun na qatl koi tamasha kiye baghair
اے قاتلوں کے شہر بس اتنی ہی عرض ہے
میں ہوں نہ قتل کوئی تماشا کیے بغیر
murshid ke jhoot ki to saza be-hisab hai
tum chhoDiyo na shahr ko sahra kiye baghair
tum chhoDiyo na shahr ko sahra kiye baghair
مرشد کے جھوٹ کی تو سزا بے حساب ہے
تم چھوڑیو نہ شہر کو صحرا کیے بغیر
un aanganon mein kitna sukun o surur tha
aaraish-e-nazar teri parwa kiye baghair
aaraish-e-nazar teri parwa kiye baghair
ان آنگنوں میں کتنا سکون و سرور تھا
آرائش نظر تری پروا کیے بغیر
yaran Khusha ye roz o shab-e-dil ki ab hamein
sab kuchh hai KHush-gawar gawara kiye baghair
sab kuchh hai KHush-gawar gawara kiye baghair
یاراں خوشا یہ روز و شب دل کہ اب ہمیں
سب کچھ ہے خوش گوار گوارا کیے بغیر
girya-kunan ki fard mein apna nahin hai nam
hum girya-kun azal ke hain girya kiye baghair
hum girya-kun azal ke hain girya kiye baghair
گریہ کناں کی فرد میں اپنا نہیں ہے نام
ہم گریہ کن ازل کے ہیں گریہ کیے بغیر
aakhir hain kaun log jo baKHshe hi jaenge
tareekh ke haram se tauba kiye baghair
tareekh ke haram se tauba kiye baghair
آخر ہیں کون لوگ جو بخشے ہی جائیں گے
تاریخ کے حرام سے توبہ کیے بغیر
wo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne jaun
shia bana diya hamein shia kiye baghair
shia bana diya hamein shia kiye baghair
وہ سنی بچہ کون تھا جس کی جفا نے جونؔ
شیعہ بنا دیا ہمیں شیعہ کیے بغیر
ab tum kabhi na aaoge yani kabhi kabhi
rukhsat karo mujhe koi wada kiye baghair
rukhsat karo mujhe koi wada kiye baghair
اب تم کبھی نہ آؤ گے یعنی کبھی کبھی
رخصت کرو مجھے کوئی وعدہ کیے بغیر
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO