Table of Contents
Hindustani Bachon Ka Qoumi Geet
Mera Watan Wohi Hai
Allama Iqbal Poetry – Bang-e-Dara
Chishti Ne Jis Zameen Mein Pegham-e-Haq Sunaya
Nanak Ne Jis Chaman Mein Wahdat Ka Geet Gaya
چشتیي نے جس زميں ميں پيغام حق سنايا
نانک نے جس چمن ميں وحدت کا گيت گايا
Tatariyon Ne Jis Ko Apna Watan Banaya
Jis Ne Hijaziyon Se Dast-e-Arab Chhuraya
تاتاريوں نے جس کو اپنا وطن بنايا
جس نے حجازيوں سے دشت عرب چھڑايا
Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai
ميرا وطن وہی ہے ، ميرا وطن وہی ہے
Yunanion Ko Jis Ne Heeran Kar Diya Tha
Sare Jahan Ko Jis Ne Ilm-o-Hunar Diya Tha
يونانيوں کو جس نے حيران کر ديا تھا
سارے جہاں کو جس نے علم و ہنر ديا تھا
Mitti Ko Jis Ki Haq Ne Zr Ka Asar Diya Tha
Turkon Ka Jis Ne Daman Heeron Se Bhar Diya Tha
مٹی کو جس کی حق نے زر کا اثر ديا تھا
ترکوں کا جس نے دامن ہيروں سے بھر ديا تھا
Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai
ميرا وطن وہی ہے، ميرا وطن وہی ہے
Toote The Jo Stare Faras Ke Asman Se
Phir Taab De Ke Jis Ne Chamkaye Kehkashan Se
ٹوٹے تھے جو ستارے فارس کے آسماں سے
پھر تاب دے کے جس نے چمکائے کہکشاں سے
Wahdat Ki Laiy Suni Thi Dunya Ne Jis Makan Se
Meer-e-Arab ﷺ Ko Aayi Thandi Hawa Jahan Se
وحدت کی لے سنی تھی دنيا نے جس مکاں سے
مير عرب ﷺ کو آئی ٹھنڈی ہوا جہاں سے
Mera Watan Wohi Haii, Mera Watan Wohi Haii
ميرا وطن وہی ہے، ميرا وطن وہی ہے
Bande Kaleem Jis Ke, Parbat Jahan Ke Seena
Noohؑ-e-Nabi Ka Aa Kar Thehra Jahan Safeena
بندے کليم جس کے ، پربت جہاں کے سينا
نوح ؑنبی کا آ کر ٹھہرا جہاں سفينا
Riffat Hai Jis Zameen Ki Baam-e-Falak Ka Zeena
Jannat Ki Zindagi Hai Jis Ki Faza Mein Jeena
رفعت ہے جس زميں کی بام فلک کا زينا
جنت کی زندگی ہے جس کی فضا ميں جينا
Mera Watan Wohi Haii, Mera Watan Wohi Haii
ميرا وطن وہی ہے، ميرا وطن وہی ہے
Farishte Adam Ko Jannat Se Rukhsat Karte Hain | Iqbal Poetry
Kahun Kya Arzu-e-Be-Dili Mujh Ko Kahan Tak Hai | Iqbal Poetry
Akhtar-e-Subah – Allama Iqbal Poetry | Bang-e-Dara
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO