Table of Contents
Hawayen Tez Thin Ye Tou Faqat Bahane Thay
Poetry By: Aashufta Changezi
Hawayen tez thin ye tou faqat bahane thay
Safiney youn bhi kinare pe kab lagane thay
ہوائیں تیز تھیں یہ تو فقط بہانے تھے
سفینے یوں بھی کنارے پہ کب لگانے تھے
Khayal aata hai reh reh ke laut jane ka
Safar se pahle hamain apne ghar jalane thay
خیال آتا ہے رہ رہ کے لوٹ جانے کا
سفر سے پہلے ہمیں اپنے گھر جلانے تھے
Guman tha ki samajh lenge mausamon ka mizaj
Khuli jo aankh to zad pe sabhi thikane thay
گمان تھا کہ سمجھ لیں گے موسموں کا مزاج
کھلی جو آنکھ تو زد پہ سبھی ٹھکانے تھے
Humein bhi aaj hi karna tha intezar us ka
Ussay bhi aaj hi sab wade bhool jaane thay
ہمیں بھی آج ہی کرنا تھا انتظار اس کا
اسے بھی آج ہی سب وعدے بھول جانے تھے
Talash jin ko hamesha buzurg karte rahe
Na jaane kaun si dunya mein woh khazane thay
تلاش جن کو ہمیشہ بزرگ کرتے رہے
نہ جانے کون سی دنیا میں وہ خزانے تھے
Chalan tha sab ke ghamon mein sharik rahne ka
Ajeeb din thay ajab sar-phire zamane thay
چلن تھا سب کے غموں میں شریک رہنے کا
عجیب دن تھے عجب سرپھرے زمانے تھے
Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Samaan Ho Gaye – Ghazal Lyrics
Wafa Ka Ahad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye – Urdu Shayari
Apnon Ki Be Rukhi Se Faramosh Ho Gaye – Urdu Heart Broken Poetry
Usse Milna Hi Nahi Dil Mein Tahiya Kar Lain – Parveen Shakir Poetry
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO