Table of Contents
Hath khali hain tere shahr se jate jate
Jaan hoti to meri jaan lutate jate
ہاتھ خالی ہیں ترے شہر سے جاتے جاتے
جان ہوتی تو مری جان لٹاتے جاتے
Ab to har hath ka patthar hamein pahchanta hai
Umar guzri hai tere shahr mein aate jate
اب تو ہر ہاتھ کا پتھر ہمیں پہچانتا ہے
عمر گزری ہے ترے شہر میں آتے جاتے
Ab ke mayus hua yaron ko rukhsat kar ke
Ja rahe the to koi zakhm lagate jate
اب کے مایوس ہوا یاروں کو رخصت کر کے
جا رہے تھے تو کوئی زخم لگاتے جاتے
Rengne ki bhi ijazat nahi hum ko warna
Hum jidhar jate naye phool khilate jate
رینگنے کی بھی اجازت نہیں ہم کو ورنہ
ہم جدھر جاتے نئے پھول کھلاتے جاتے
Main to jalte hue sahraon ka ek patthar tha
Tum to dariya the meri pyas bujhate jate
میں تو جلتے ہوئے صحراؤں کا اک پتھر تھا
تم تو دریا تھے مری پیاس بجھاتے جاتے
Mujh ko rone ka saliqa bhi nahi hai shayad
Log hanste hain mujhe dekh ke aate jate
مجھ کو رونے کا سلیقہ بھی نہیں ہے شاید
لوگ ہنستے ہیں مجھے دیکھ کے آتے جاتے
Hum se pahle bhi musafir kayi guzre honge
Kam se kam rah ke patthar to hatate jate
ہم سے پہلے بھی مسافر کئی گزرے ہوں گے
کم سے کم راہ کے پتھر تو ہٹاتے جاتے
Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Chingari Rakho – Rahat Indori Ghazal
Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai – Rahat Indori Ghazal
Vehshat-e-Dil Thi Kahan Kam Ke Badhane Aaye – Urdu Ghazal
Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahi Rehta – Bashir Badr