
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taqi Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha. Ghazal, Sad Ghazal, Heart Touching Poetry
Table of Contents
Hath Aankhon Pe Rakh Lene Se
Muzaffar Warsi Poetry
hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
diwar se bhaunchaal ko roka nahi jata ہاتھ آنکھوں پہ رکھ لینے سے خطرہ نہیں جاتادیوار سے بھونچال کو روکا نہیں جاتا
dawon ki taraazu mein to azmat nahi tulti
fite se to kirdar ko napa nahin jata
دعووں کی ترازو میں تو عظمت نہیں تلتی
فیتے سے تو کردار کو ناپا نہیں جاتا
farman se pedon pe kabhi phal nahi lagte
talwar se mausam koi badla nahi jata
فرمان سے پیڑوں پہ کبھی پھل نہیں لگتے
تلوار سے موسم کوئی بدلا نہیں جاتا
chor apne gharon mein to nahi naqb lagate
apni hi kamai ko to luta nahi jata
چور اپنے گھروں میں تو نہیں نقب لگاتے
اپنی ہی کمائی کو تو لوٹا نہیں جاتا
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban mein jhanka nahi jata
اوروں کے خیالات کی لیتے ہیں تلاشی
اور اپنے گریبان میں جھانکا نہیں جاتا
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahi jata
فولاد سے فولاد تو کٹ سکتا ہے لیکن
قانون سے قانون کو بدلا نہیں جاتا
zulmat ko ghata kahne se barish nahi hoti
shoalon ko hawaon se to dhanpa nahi jata
ظلمت کو گھٹا کہنے سے بارش نہیں ہوتی
شعلوں کو ہواؤں سے تو ڈھانپا نہیں جاتا
tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae
sahil pe khade ho ke to duba nahi jata
طوفان میں ہو ناؤ تو کچھ صبر بھی آ جائے
ساحل پہ کھڑے ہو کے تو ڈوبا نہیں جاتا
dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahi jata
دریا کے کنارے تو پہنچ جاتے ہیں پیاسے
پیاسوں کے گھروں تک کوئی دریا نہیں جاتا
Allah jise chahe use milti hai muzaffar
izzat ko dukanon se kharida nahi jata
اللہ جسے چاہے اسے ملتی ہے مظفرؔ
عزت کو دکانوں سے خریدا نہیں جاتا Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha – Sad PoetryIntezamat Naye Sire Se Sambhale Jayen – Rahat IndoriMein Ne Aghaz Se Anjam-E-Safar Jana Hai – Ahmad Faraz
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO