Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein
Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain AankheinShabnam Kabhi Shoula Kabhi Toofaan Hain Aankhein ہر طرح کے جذبات کا اعلان ہیں آنکھیںشبنم کبھی شعلہ کبھی طوفان ہیں آنکھیں Aankhon Se Badi Koi Tarazo Nahi HotiTalta Hai Bashar Jis Mein Woh Meezaan Hain Aankhein آنکھوں سے بڑی کوئی ترازو نہیں ہوتیتلتا ہے بشر جس میں وہ میزان ہیں آنکھیں Aankhen Hi Milati Hain Zamane Mein Dilon KoAnjaan Hain Hum Tum Agar Anjaan Hain Aankhein آنکھیں ہی ملاتی ہیں زمانے میں دلوں کوانجان ہیں ہم تم اگر انجان ہیں آنکھیں Lab Kuch Bhi Kahen Uss Se Haqeeqat Nahi KhultiInsaan Ke Sach Jhoot Ki Pehchaan Hain Aankhein لب کچھ بھی کہیں اس سے حقیقت نہیں کھلتیانسان کے سچ جھوٹ کی پہچان ہیں آنکھیں Aankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair Ke AagayDunya Mein Badi Cheez Meri Jaan Hain Aankhein آنکھیں نہ جھکیں تیری کسی غیر کے آگےدنیا میں بڑی چیز مری جان! ہیں آنکھیں Jab Aankh Mein Kuch Khaak Si Urhti Nazar AayiHum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tum Ko Aa SakeMujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho – Ghazal LyricsGham Ki Baarish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO