Table of Contents
Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Zarb-e-Kaleem – Mard-e-Musalman
Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!
ہر لحظہ ہے مومن کی نئی شان نئی آن
گفتار میں کردار میں اللہ کی برُھان
Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman
قہاری و غفاری و قدوسی و جبروت
یہ چار عناصر ہوں تو بنتا ہے مسلمان
Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan
ہمسایہء جبرئیل آمین بندہ خاکی
ہے اس کا نشیمن نہ بخارا نہ بدخشاں
Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!
یہ راز کسی کو نہیں معلوم کہ مومن
قاری نظر آتا ہے حقیقت میں ہے قرآن
Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan
قدرت کے مقاصد کا عيار اس کے ارادے دنيا ميں بھي ميزان، قيامت ميں بھي ميزان
Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan
جس سے جگر لالہ ميں ٹھنڈک ہو، وہ شبنم درياؤں کے دل جس سے دہل جائيں، وہ طوفان
Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman
فطرت کا سرود ازلي اس کے شب و روز آہنگ ميں يکتا صفت سورئہ رحمن
Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!
بنتے ہيں مري کارگہ فکر ميں انجم لے اپنے مقدر کے ستارے کو تو پہچان Digargoon Hai, Jahan, Taron Ki Gardish Taiz Hai Saqi – Iqbal PoetryLa Phir Ek Baar Wohi Bada-o-Jaam Ae Saqi – Allama Iqbal PoetryTu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-Maqaam Se Guzar – Allama Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO