
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Har Ek Raat Mein Apna Hisab Kar Ke Mujhe
har ek raat mein apna hisab kar ke mujhe
sahar ko chhod diya aaftab kar ke mujhe
ہر ایک رات میں اپنا حساب کر کے مجھے
سحر کو چھوڑ دیا آفتاب کر کے مجھے mere junun ko pahuncha diya hai manzil tak
safar ke shauq ne khana-kharab kar ke mujhe مرے جنون کو پہنچا دیا ہے منزل تکسفر کے شوق نے خانہ خراب کر کے مجھے zara si der mein wo bulbule bhi phut gaye
jinhen wajud mila gharq-e-ab kar ke mujhe ذرا سی دیر میں وہ بلبلے بھی پھوٹ گئےجنہیں وجود ملا غرق آب کر کے مجھے usi ko din ke ujale mein aaunga main nazar
tamam raat jo dekhega khwab kar ke mujhe اسی کو دن کے اجالے میں آؤں گا میں نظرتمام رات جو دیکھے گا خواب کر کے مجھے jagah jagah pe mude hain kai waraq mere
kisi ne roz padha tha kitab kar ke mujhe جگہ جگہ پہ مڑے ہیں کئی ورق میرےکسی نے روز پڑھا تھا کتاب کر کے مجھے bana raha hai agar tu mujhe to dhyan rahe
tujhe banana padega kharab kar ke mujhe بنا رہا ہے اگر تو مجھے تو دھیان رہےتجھے بنانا پڑے گا خراب کر کے مجھے main ek nasha hun usse pad gai hai lat meri
hayat pine lagi hai sharab kar ke mujhe میں اک نشہ ہوں اسے پڑ گئی ہے لت میریحیات پینے لگی ہے شراب کر کے مجھے
meri shanakht hai ahl-e-sukhan mein bas itni
kiya gaya hai alag intikhab kar ke mujhe
مری شناخت ہے اہل سخن میں بس اتنی
کیا گیا ہے الگ انتخاب کر کے مجھے Din Guzar Jain Gay Sarkar Koi Baat NahiHar Shaam Kehty Ho Kal Sham Milen Gay – Sad PoetryYe Nigah-e-Sharm Jhuki Jhuki – Iqbal Azeem Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO