Table of Contents
Har Dhadkan Haijaani Thi Har Khamoshi Tufaani Thi
Jaun Elia Poetry
Har dhadkan haijaani thi har khamoshi tufani thi
Phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki aasani thi
ہر دھڑکن ہیجانی تھی ہر خاموشی طوفانی تھی
پھر بھی محبت صرف مسلسل ملنے کی آسانی تھی
Jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main
Jis din us ka khat aaya hai us din bhi viraani thi
جس دن اس سے بات ہوئی اس دن بھی بے کیف تھا میں
جس دن اس کا خط آیا ہے اس دن بھی ویرانی تھی
Jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rafaaqat hi to nahi
Tab main ne har shakhs ki surat mushkil se pahchani thi
جب اس نے مجھ سے یہ کہا تھا عشق رفاقت ہی تو نہین
تب میں نے ہر شخص کی صورت مشکل سے پہچانی تھی
Jis din wo milne aai hai us din ki rudaad ye hai
Us ka blouse naranji tha us ki saarhi dhani thi
جس دن وہ ملنے آئی ہے اس دن کی روداد یہ ہے اس کا بلاؤز نارنجی تھا اس کی ساری دھانی تھی
Uljhan si hone lagti thi mujh ko aksar aur wo yoon
Mera mizaaj-e-ishq tha shahri us ki wafa dahqani thi
الجھن سی ہونے لگتی ہے مجھ کو اکثر اور ہو یوں
میرا مزاج ِ عشق تھا شہری اس کی وفا دہقانی تھی
Ab to us ke baare mein tum jo chaaho wo kah daalo
Wo angdaai mere kamre tak to badi roohaani thi
اب تو اس کے بارے میں تم جو چاہو وہ کہہ ڈالو وہ انگڑائی میرے کمرے تک تو بڑی روحانی تھی
Naam pe hum qurbaan the us ke lekin phir ye taur hua
Us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se badi qurbani thi
نام پہ ہم قربان تھے اس کے لیکن پھر یہ طور ہوا
اس کے دیکھ کے رک جانا بھی سب سے بڑی قربانی تھی
Mujh se bichhad kar bhi wo ladki kitni khush khush rahti hai
Us ladki ne mujh se bichhad kar mar jaane ki thhani thi
مجھ سے بچھڑ کر بھی وہ لڑکی کتنی خوش رہتی ہے
اس لڑکی نے مجھ سے بچھڑ کر مر جانے کی ٹھانی تھی
Ishq ki haalat kuchh bhi nahin thi baat badhane ka fan tha
Lamhe la-faani thehre the qatro’n ki tughyani thi
عشق کی حالت کچھ بھی نہیں تھی بات بڑھانے کا فن تھالمحے لافانی ٹھہرے تھے قطروں میں طغیانی تھی
Jis ko khud main ne bhi apni rooh ka irfaa’n samjha tha
Wo to shayad mere pyaase honthon ki shaitani thi
جس کو خود میں نے بھی اپنی روح کا عرفاں سمجھا تھا
وہ تو شاید میرے پیاسے ہونٹوں کی شیطانی تھی
Tha darbaar-e-kalaa’n bhi us ka naubat-khana us ka tha
Thi mere dil ki jo raani amrohe ki rani thi
تھا دربارِ کلاں بھی اُس کا، نوبت خانہ اُس کا تھا تھی جو میرے دل کی رانی امروہے کی رانی تھی Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha – Jaun Elia PoetryChupke Chupke Raat Din Aansoo Bahana Yaad Hai – Full GhazalBujhi Huyi Shama Ka Dhuan Hoon – NFAK LYRICSSUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!