
Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte
haq meri mohabbat ka ada kyun nahin karte
tum dard to dete ho dawa kyun nahin karte
kyun baithe ho khamosh sirhane mere aa kar
yaro mere jine ki dua kyun nahin karte
phulon ki tarah jism hai patthar ki tarah dil
jaane ye hasin log wafa kyun nahin karte
har baat parindon ki tarah udti hui si
jo baat bhi karte ho sada kyun nahin karte
lo dekho ‘hamidi’ lab-e-dariya pe hai dariya
par pyas hai kab ki ye pata kyun nahin karte. Visit Here
حق میری محبت کا ادا کیوں نہیں کرتے
تم درد تو دیتے ہو دوا کیوں نھیں کرتے
کیوں بیٹھے ہو خاموش سرہانے میرے آکر
یارو میرے جینے کی دعا کیوں نہیں کرتے
پھولوں کی طرح جسم ہے ، پتھر کی طرح دل
جانے یہ حسیں لوگ وفا کیوں نہیں کرتے
ہر بات پرندوں کی طرح اڑتی ہوئی سی
جو بات بھی کرتے ہو سدا کیوں نہیں کرتے
لو دیکھو حمیدی لب دریا پہ ہے دریا
پر پیاس ہے کب کی یہ پتا کیوں نہیں کرتے
Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta – Urdu PoetryHijir K Mosam Mai Ye Barish Ka Barasna Kaisa – Urdu ShayariUdaas Raaton Mein Taiz Coffee Ki Talkhion Mein – Wasi Shah
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO