Table of Contents
Guzar gaye hain jo mausam kabhi na aayeinge
Tamam dariya kisi roz dub jayeinge
گزر گئے ہیں جو موسم کبھی نہ آئیں گے
تمام دریا کسی روز ڈوب جائیں گے
Safar to pahle bhi kitne kiye magar is baar
Ye lag raha hai ke tujh ko bhi bhul jayeinge
سفر تو پہلے بھی کتنے کیے مگر اس بار
یہ لگ رہا ہے کہ تجھ کو بھی بھول جائیں گے
Alao thande hain logon ne jagna chhodia
Kahani saath hai lekin kise sunainge
الاؤ ٹھنڈے ہیں لوگوں نے جاگنا چھوڑا
کہانی ساتھ ہے لیکن کسے سنائیں گے
Suna hai aage kahein simtein banti jati hain
Tum apni raah chuno saath chal na payeinge
سنا ہے آگے کہیں سمتیں بانٹی جاتی ہیں
تم اپنی راہ چنو ساتھ چل نہ پائیں گے
Duayein loriyan maon ke paas chord aaye
Bas ek neend bachi hai khareed layeinge
دعائیں لوریاں ماؤں کے پاس چھوڑ آئے
بس ایک نیند بچی ہے خرید لائیں گے
Zaroor tujh sa bhi hoga koi Zamane mein
Kahan talak teri yaadon se ji lagayeige
ضرور تجھ سا بھی ہوگا کوئی زمانے میں
کہاں تلک تری یادوں سے جی لگائیں گے
Hawayen Tez Thin Ye Tou Faqat Bahane Thay – Aashufta Changezi Poetry
Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Samaan Ho Gaye – Ghazal Lyrics
Wafa Ka Ahad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye – Urdu Shayari
Sharma Gaye Laja Gaye Daman Churda Gaye – Jigar Muradabadi Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO