Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gaye
go zara si baat par barson ke yarane gaye
lekin itna to hua kuchh log pahchane gaye
گو ذرا سی بات پر برسوں کے یارانے گئے
لیکن اتنا تو ہوا کچھ لوگ پہچانے گئے
garmi-e-mahfil faqat ek nara-e-mastana hai
aur wo khush hain ki is mahfil se diwane gaye
گرمئ محفل فقط اک نعرۂ مستانہ ہے
main usse shohrat kahun ya apni ruswai kahun
mujh se pahle us gali mein mere afsane gaye
میں اسے شہرت کہوں یا اپنی رسوائی کہوں
مجھ سے پہلے اس گلی میں میرے افسانے گئے
wahshaten kuchh is tarah apna muqaddar ban gain
hum jahan pahunche hamare sath virane gaye
وحشتیں کچھ اس طرح اپنا مقدر ہو گئیں
ہم جہاں پہنچے، ہمارے ساتھ ویرانے گئے
yun to wo meri rag-e-jaan se bhi the nazdik-tar
aansuon ki dhund mein lekin na pahchane gaye
یوں تو وہ میری رگِ جاں سے بھی تھے نزدیک تر
آنسوؤں کی دھند میں لیکن نہ پہچانے گئے
ab bhi un yaadon ki khushbu zehn mein mahfuz hai
bar-ha hum jin se gulzaron ko mahkane gaye
اب بھی ان یادوں کی خوشبو ذہن میں محفوظ ہے
بارہا ہم جن سے گلزاروں کو مہکانے گئے
kya qayamat hai ki ‘khatir’ kushta-e-shab the bhi hum
subh bhi aai to mujrim hum hi gardane gaye
کیا قیامت ہے کہ خاطر کشتۂ شب بھی تھے ہم
صبح بھی آئی تو مجرم ہم ہی گردانے گئے
Shab Mein Din Ka Bojh Uthaya Din Mein Shab e Baidari Ki
Ab To Ghabra Keh Yeh Kahte Hain Keh Mar Jaayenge
Bada Viran Mausam Hai Kabhi Milne Chale Aao
Kabhi Is Nagar Tujhe Dekhna – Tabish Kamal Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO