
Ghazal Bohat Farsooda Lagte Hain
Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke qisse
Gul-o-gulzar ki baaten, lab-o-rukhsar ke qisse
بہت فرسودہ لگتے ہیں مجھے اب یار کے قصے
گل و گلزار کی باتیں، لب و رخسار کے قصے Yahan sub ke muqaddar main faqat zakham-e-judai hai
Sabhi jhoote fasane hain wisal-e-yaar ke qisse یہاں سب کے مقدر میں فقط زخمِ جدائی ہےسبھی جھوٹے فسانے ہیں وصالِ یار کے قصے Bhala ishq-o-mohabbat se kisi ka pait bharta hai
Suno tum ko sunata hoon main karobar ke qisse بھلا عشق و محبت سے کسی کا پیٹ بھرتا ہےسنو تم کو سناتا ہوں میں کاروبار کے قصے Mere ahbab kehte hain yahi aik aeb hai mujh main
Sar-e-deewar likhta hoon, pus-e-deewar ke qisse مرے احباب کہتے ہیں یہی اک عیب ہے مجھ میںسرِ دیوار لکھتا ہوں پسِ دیوار کے قصے Main akser is liye logon se ja ker khud nahi milta
Wahi be-kar ki baaten, wahi be-kar ke qisse میں اکثر اس لئے لوگوں سے جا کر خود نہیں ملتاوہی بے کار کی باتیں وہی بے کار کے قصے Top 25+ 2 Line Urdu Poetry For Status – Best Urdu Poetry CollectionKabhi Hayat Ka Gham Hai Kabhi Tera Gham – Ahmad RahiDabi Dabi Si Wo Muskurahat Labon Pe – Love Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO