Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair – Ghalib
Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair
Jaanega Ab Bhi Tu Na Mera Gar Kahe Baghair
گھر جب بنا لیا ترے در پر کہے بغیر
جانے گا اب بھی تو نہ مرا گھر کہے بغیر Kahte Hain, Jab Rahi Na Mujhe Taaqat-E-Sukhan
Jaanun Kisi Ke Dil Ki Main Kyunkar Kahe Baghair کہتے ہیں جب رہی نہ مجھے طاقت سخنجانوں کسی کے دل کی میں کیونکر کہے بغیر Kaam Us Se Aa Pada Hai Ki Jiska Jahaan Main
Lewe Na Koi Naam Sitamgar Kahe Baghair کام اس سے آ پڑا ہے کہ جس کا جہان میںلیوے نہ کوئی نام ستم گر کہے بغیر Jii Main Hi Kuch Nahi Hai Hamaare Wagarna Ham
Sar Jaaye Ya Rahe Na Rahen Par Kahe Bagair جی میں ہی کچھ نہیں ہے ہمارے وگرنہ ہمسر جائے یا رہے نہ رہیں پر کہے بغیر Chordunga Main Na Us But-E-Kaafir Ka Pujna
Chhode Na Khalq Go Mujhe Kaafir Kahe Baghair چھوڑوں گا میں نہ اس بت کافر کا پوجناچھوڑے نہ خلق گو مجھے کافر کہے بغیر Maqsad Hai Naaz-O-Gamza Wale Guftagu Main Kaam
Chalta Nahin Hai, Dashna-O-Khanjar Kahe Baghair مقصد ہے ناز و غمزہ ولے گفتگو میں کامچلتا نہیں ہے دشنہ و خنجر کہے بغیر Har Chand Ho Mushahida-E-Haq Ki Guftagu
Banati Nahin Hai Baada-O-Saagar Kahe Baghair ہر چند ہو مشاہدۂ حق کی گفتگوبنتی نہیں ہے بادہ و ساغر کہے بغیر
Bahara Hoon Main To Chahiye Duna Ho Iltafaat
Sunta Nahin Hoon Baat Muqarrar Kahe Baghair
بہرا ہوں میں تو چاہیئے دونا ہو التفاتسنتا نہیں ہوں بات مکرر کہے بغیر Ghalib Na Kar Huzur Main Tu Baar-Baar Arz
Zaahir Hai Tera Haal Sab Un Par Kahe Baghair غالبؔ نہ کر حضور میں تو بار بار عرضظاہر ہے تیرا حال سب ان پر کہے بغیر Tere Liye Chale The Hum Tere Liye Thahar GayeAzab-e-Deed Mein Aankhen Lahoo Lahoo Kar KeMein Iss Liye Aangan Ka Shajar Kaat Raha ThaAate Aate Mera Naam Sa Reh Gaya – Lyrics
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO