Table of Contents
Gham-E-Ashiqi Se Keh Do Rah-E-Aam Tak Na Pohunche
Urdu Ghazal By Shakeel Badayuni
Gham-E-Ashiqi Se Keh Do Rah-E-Aam Tak Na Pohunche
Mujhe Khauf Hai Ye Tohmat Mere Naam Tak Na Pohunche
غم عاشقی سے کہہ دو رہ عام تک نہ پہنچے
مجھے خوف ہے یہ تہمت ترے نام تک نہ پہنچے
Main Nazar Se Pee Raha Tha To Ye Dil Ne Baddua Di
Tera Haath Zindegi Bhar Kabhi Jaam Tak Na Pohunche
Tera Haath Zindegi Bhar Kabhi Jaam Tak Na Pohunche
میں نظر سے پی رہا تھا تو یہ دل نے بد دعا دی
ترا ہاتھ زندگی بھر کبھی جام تک نہ پہنچے
Nai Subah Par Nazar Hai Magar Aah Ye Bhi Dar Hai
Ye Sahar Bhi Rafta Rafta Kahin Shaam Tak Na Pohunche
Ye Sahar Bhi Rafta Rafta Kahin Shaam Tak Na Pohunche
نئی صبح پر نظر ہے مگر آہ یہ بھی ڈر ہے
یہ سحر بھی رفتہ رفتہ کہیں شام تک نہ پہنچے
Wo Nava-E-Muzamahil Kya Na Ho Jis Main Dil Ki Dhadkan
Wo Sadaa-E-Ahale-Dil Kya Jo Awaam Tak Na Pohunche
Wo Sadaa-E-Ahale-Dil Kya Jo Awaam Tak Na Pohunche
وہ نوائے مضمحل کیا نہ ہو جس میں دل کی دھڑکن
وہ صدائے اہل دل کیا جو عوام تک نہ پہنچے
Unhein Apne Dil Ki Khabrain Mere Dil Se Mil Rahi Hain
Main Jo Unse Ruth Jaaon To Payaam Tak Na Pohunche
Main Jo Unse Ruth Jaaon To Payaam Tak Na Pohunche
انہیں اپنے دل کی خبریں مرے دل سے مل رہی ہیں
میں جو ان سے روٹھ جاؤں تو پیام تک نہ پہنچے
Ye Adaa-E-Beniaazi Tujhe Bewafa Mubarak
Magar Aisi Berukhi Kya Ke Salaam Tak Na Pohunche
Magar Aisi Berukhi Kya Ke Salaam Tak Na Pohunche
یہ ادائے بے نیازی تجھے بے وفا مبارک
مگر ایسی بے رخی کیا کہ سلام تک نہ پہنچے
Jo Naqaab-E-Rukh Utha Di To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthe Har Nigaah Lekin Koi Baam Tak Na Pohunche
Uthe Har Nigaah Lekin Koi Baam Tak Na Pohunche
جو نقاب رخ اٹھا دی تو یہ قید بھی لگا دی
اٹھے ہر نگاہ لیکن کوئی بام تک نہ پہنچے
Wahi Ik Khamosh Naghma Hai Shakeel Jaan-E-Hasti
Jo Zubaan Tak Na Aaye Jo Qalam Tak Na Pohunche
Jo Zubaan Tak Na Aaye Jo Qalam Tak Na Pohunche
وہی اک خموش نغمہ ہے شکیلؔ جان ہستی
جو زبان پر نہ آئے جو کلام تک نہ پہنچے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO