Table of Contents
Gaye Mausam Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah
Parveen Shakir Poetry
Gaye mausam mein jo khilte the gulabon ki tarah
Dil pe utrenge wahi khwab azabon ki tarah
گئے موسم میں جو کھِلتے تھے گلابوں کی طرحدل پہ اُتریں گے وہی خواب عذابوں کی طرح
Rakh ke dher pe ab raat basar karni hai
Jal chuke hain mere kheme mere khwabon ki tarah
راکھ کے ڈھیر پہ اب رات بسر کرنی ہےجل چکے ہیں مرے خیمے،مرے خوابوں کی طرح
Sa’at-e-did ki aariz hain gulabi ab tak
Awwalin lamhon ke gulnar hijabon ki tarah
ساعتِ دید کے عارض ہیں گلابی اب تکاولیں لمحوں کے گُلنار حجابوں کی طرح
Wo samundar hai to phir ruh ko shadab kare
Tishnagi kyun mujhe deta hai sharaabon ki tarah
وہ سمندر ہے تو پھر رُوح کو شاداب کرےتشنگی کیوں مجھے دیتا ہے سرابوں کی طرح
Ghair-mumkin hai tere ghar ke gulabon ka shumar
Mere riste hue zakhmon ke hisabon ki tarah
غیر ممکن ہے ترے گھر کے گلابوں کا شمارمیرے رِستے ہُوئے زخموں کے حسابوں کی طرح
Yaad to hongi wo baaten tujhe ab bhi lekin
Shelf mein rakkhi hui band kitabon ki tarah
یاد تو ہوں گی وہ باتیں تجھے اب بھی لیکنشیلف میں رکھی ہُوئی کتابوں کی طرح
Kaun jaane ki naye sal mein tu kis ko padhe
Tera mear badalta hai nisabon ki tarah
کون جانے نئے سال میں تو کس کو پڑھےتیرا معیار بدلتا ہے نصابوں کی طرح
Shokh ho jati hai ab bhi teri aankhon ki chamak
Gahe gahe tere dilchasp jawabon ki tarah
شوخ ہو جاتی ہے اب بھی تری آنکھوں کی چمکگاہے گاہے،ترے دلچسپ جوابوں کی طرح
Hijr ki shab meri tanhai pe dastak degi
Teri khush-bu mere khoye hue khwabon ki tarah
ہجر کی سب،مری تنہائی پہ دستک دے گیتیری خوشبو ،مرے کھوئے ہوئے خوابوں کی طرح Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhun – Parveen ShakirDilon Mein Aag Labon Par Gulab Rakhte Hain – Rahat IndoriMeri Rooh Mein Jo Utar Sakay Woh Muhabbtain Mujhe ChahiyeinSUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!