
Gardishon Ke Hain Mare Huye Na – NFAK LYRICS
gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke sataye huye hain
jitne bhi zakhm hain mere dil par, doston ke lagaye huye hain
گردشوں کے ہیں مارے ہوئے نہ دشمنوں کے ستائے ہوئے ہیں
جتنے بھی زخم ہیں میرے دل پر، دوستوں کے لگائے ہوئے ہیں
jab se dekha tera qaddo kaamad dil pe tooti hui hai qayaamat
har bala se rahe tu salaamat din jawaani ke aaye huye hain
جب سے دیکھا تیرا قدوقامت، دل پہ ٹوٹی ہوئی ہے قیامت
ہر بلا سے رہے تو سلامت، دن جوانی کے آئے ہوئے ہیں
aur de aur de mujhko saaki hosh rehta hai thoda sa baaki
aaj talkhi bhi hai inteha ki aaj wo bhi paraye huye hain
اور دے مجھ کو دے اورساقی، ہوش رہتا ہے تھوڑا سا باقی
آج تلخی بھی ہے انتہا کی، آج وہ بھی پرائے ہوئے ہیں
kal the abad pehlu mein mere ab hai gairon ki mehfil mein dere
meri mehfil mein kar ke andhere apni mehfil sajaaye huye hain
کل تھے آباد پہلو میں میرے، اب ہیں غیروں کی محفل میں ڈیرے
میری محفل میں کرکے اندھیرے، اپنی محفل سجائے ہوئے ہیں
apne haathon se khanjar chala kar kitna masoom chehra banaakar
apne kaandhon pe ab mere qaatil meri mayyat uthaye huye hain
اپنے ہاتھوں سے خنجر چلا کر، کتنا معصوم چہرہ بنا کر
اپنے کاندھوں پہ اب میرے قاتل، میری میّت اٹھائے ہوئے ہیں
mehvashon ko wafa se kya matlab in buton ko khuda se kya matlab
inki masoom nazron ne ‘Nasir’ log paagal banaaye huye hain
مہ وشوں کو وفا سے کیا مطلب، ان بُتوں کو خدا سے کیا مطلب
ان کی معصوم نظروں نے ناصرؔ لوگ پاگل بنائے ہوئے ہیں
Read More:
Tum Agar Yunhi Nazrain Milate Rahe – NFAK LYRICS
Kehte Ho Mujh Se Ishq Ka Afsana Chahiye – NFAK LYRICS