Table of Contents
Faqr Ke Hain Muajazaat Taaj-o-Sareer-o-Sipah
Allama Iqbal Poetry | Bal-e-Jibril
Faqr Ke Hain Muajazaat Taaj-o-Sareer-o-Sipah
Faqr Hai Meeron Ka Meer, Faqr Hai Shahon Ka Shah
فقر کے ہيں معجزات تاج و سرير و سپاہ
فقر ہے ميروں کا مير ، فقر ہے شاہوں کا شاہ
Ilm Ka Maqsood Hai Paki-e-Aqal-o-Khirad
Faqr Ka Maqsood Hai Iffat-e-Qalb-o-Nigah
علم کا مقصود ہے پاکی عقل و خرد
فقر کا مقصود ہے عفت قلب و نگاہ
Ilm Faqeer-o-Hakeem, Faqr Maseeh-o-Kaleem
Ilm Hai Jooya’ay Rah, Faqr Hai Danye Rah
علم فقيہ و حکيم ، فقر مسيح و کليم
علم ہے جويائے راہ ، فقر ہے دانائے راہ
Faqr Maqam-e-Nazar, Ilm Maqam-e-Khabar
Faqr Mein Masti Sawab, Ilm Mein Masti Gunah
فقر مقام نظر ، علم مقام خبر
فقر ميں مستی ثواب ، علم ميں مستی گناہ
Ilm Ka ‘Mojood’ Aur, Faqar Ka ‘Mojood’ Aur
ASHADU ALLA ILAHA, ASHADU ALLA ILAHA !
علم کا ‘موجود’ اور ، فقر کا ‘موجود’ اور
اشھد ان لا الہ’ اشھد ان لا الہ
Charhti Hai Jab Faqr Ki Saan Pe Taeg-e-Khudi
Aik Sipahi Ki Zarb Karti Hai Kaar-e-Sipah
چڑھتی ہے جب فقر کی سان پہ تيغ خودی
ايک سپاہی کی ضرب کرتی ہے کار سپاہ
Dil Agar Iss Khak Mein Zinda-o-Baidar Ho
Teri Nigah Torh De Aaeena-e-Mehar-o-Mah
دل اگر اس خاک ميں زندہ و بيدار ہو
تيری نگہ توڑ دے آئنۂ مہروماہ
Mohabbat – Allama Iqbal | Shaheed-e-Mohabbat Na Kafir Na Ghazi
Pani Tere Chashmon Ka Tarapta Huwa Simaab | Allama Iqbal
Madniyat-e-Islam | Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO