
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Table of Contents
Faisla Tumko Bhool Jaane Ka
Mehdi Hassan Lyrics
faisla tumko bhool jaane ka
ek naya khwaab hai deewaane ka
فیصلہ تم کو بھول جانے کا
اک نیا خواب ہے دیوانے کا
dil kali ka laraz laraz uthaa
zikr tha phir bahaar aane ka
دل کلی کا لرز لرز اُٹھا
ذکر تھا پھر بہار آنے کا
hausala kam kisi mein hota hai
jeet kar khud hi haar jaane ka
حوصلہ کم کسی میں ہوتا ہے
جیت کر خود ہی ہار جانے کا
zindagi kat gai manaate huye
ab iraada hai rooth jaane ka
زندگی کٹ گئی مناتے ہوئے
اب ارادہ ہے روٹھ جانے کا
aap shehzad ki na fikr karein
woh toh aadi hai zakhm khaane ka
آپ شہزادؔ کی نہ فکر کریں
وہ تو عادی ہے زخم کھانے کا Pyar Bhare Do Sharmile Nain By Mehdi HassanTumharay Qaaflay Ka Har Ghari Manzar Badalta HaiWo Lahu Royi Hain Aankhein Keh Batana MushkilAzab-e-Deed Mein Aankhen Lahoo Lahoo Kar Ke
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO