Table of Contents
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai
اک میں ہی نہیں اُن پر قربان زمانہ ہے
Kal Pul Say Hamein Jis Nay Khud Par Lagana Hai
Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai
کل جس نے ہمیں پُل سے خود پار لگانا ہے
Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon
Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai
اُس ہاشمی دولہا پر کونین کو میں واروں
Izzat Say Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par
Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Say Toh Jana Hai
عزت سے نہ مر جائیں کیوں نام محمد پر
Yoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein
Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai
ہوں شاہِ مدینہ کی میں پشت پناہی میں
So Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat
Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai
سو بار اگرتوبہ ٹوٹی بھی تو حیرت کیا
Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pay Nigahein Hai
Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai
پُر نور سی راہیں بھی روضے پہ نگاہیں بھی
Yeh Keh Kay Dar E Haq Say Li Maut Mein Kuch Mohlat
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai
یہ کہہ کر درِ حق سے لی موت میں کچھ مُہلت
Aao Dar E Zahra Par Phalaye Hue Daman
Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai
آؤ در زہرہ پر پھیلائے ہوئے دامن
Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisnay
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai
قربان اس آقا پر کل حشر کے دن جس نے
Har Waqt Woh Hain Meri Duniya E Tasawar Mein
Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai
ہر وقت وہ ہیں میری دنیائے تصور میں
Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni
Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Nay Mana Hai
ہم کیوں نہ کہیں ان سے روداد ِ الم اپنی
Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar
Jaisa Hai Naseer Aakhir, Sahil Toh Purana Hai
محرومِ کرم اس کو رکھئے نہ سرِ محشر
پیر نصیر الدین نصیر
Tu Shah e Khubaan Tu Jaan e Janaan | Naat Lyrics in Urdu
Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon – Naat Lyrics
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO