Ek Jism Hain Ki Sar Se Juda Hone Wale Hain
ek jism hain ki sar se juda hone wale hain
hum bhi zaban se apni ada hone wale hain
اک جسم ہیں کہ سر سے جدا ہونے والے ہیں
ہم بھی زباں سے اپنی ادا ہونے والے ہیں
tarif ho rahi hai abhi thodi der baad
khush hone wale sare khafa hone wale hain
تعریف ہو رہی ہے ابھی تھوڑی دیر بعد
خوش ہونے والے سارے خفا ہونے والے ہیں
sunte hain wo anar-kali khilne wali hai
kahiye ki hum bhi mauj-e-saba hone wale hain
سنتے ہیں وہ انار کلی کھلنے والی ہے
کہئے کہ ہم بھی موج صبا ہونے والے ہیں
qurbat mein us ki aur hi kuchh hone wale the
is se bichhad ke dekhiye kya hone wale hain
قربت میں اس کی اور ہی کچھ ہونے والے تھے
اس سے بچھڑ کے دیکھیے کیا ہونے والے ہیں
mantar ki tarah us ko padhe ja rahe hain hum
ek din tilism-e-hosh-ruba hone wale hain
منتر کی طرح اس کو پڑھے جا رہے ہیں ہم
اک دن طلسم ہوش ربا ہونے والے ہیں
Husn Jab Meharbaan Ho To Kyaa Kiijiye – Khumar Barabankvi
Gungunaaty Hue Aanchal Ki Hawa De Mujh Ko – Wasi Shah
Mein Ye Kis Ke Naam Likhon Jo Alam Guzar Rahe Hain
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO