Table of Contents
Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hoon Main – Jaun Elia Ghazal
اک ہنر ہے جو کر گیا ہوں میں
Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hoon Main
Sab Ke Dil Se Utar Gaya Hoon Main
اک ہنر ہے جو کر گیا ہوں میں
سب کے دل سے اتر گیا ہوں میں
Kaise Apni Hansi Ko Zabt Karoon
Sun Raha Hoon Ke Ghar Gaya Hoon Main
کیسے اپنی ہنسی کو ضبط کروں
سن رہا ہوں کہ گھر گیا ہوں میں
Kya Bataaun Ke Mar Nahin Paata
Jeete Ji Jab Se Mar Gaya Hoon Main
کیا بتاؤں کہ مر نہیں پاتا
جیتے جی جب سے مر گیا ہوں میں
Ab Hai Bus Apna Saamnaa Darpesh
Har Kisi Se Guzar Gaya Hoon Main
اب ہے بس اپنا سامنا در پیش
ہر کسی سے گزر گیا ہوں میں
Woh Hi Naaz-O-Adaa, Woh Hi Ghamze
Sar-Ba-Sar Aap Par Gaya Hoon Main
وہی ناز و ادا وہی غمزے
سر بہ سر آپ پر گیا ہوں میں
Ajab Ilzaam Hoon Zamaane Ka
Ke Yahan Sab Ke Sar Gaya Hoon Main
عجب الزام ہوں زمانے کا
کہ یہاں سب کے سر گیا ہوں میں
Kabhi Khud Tak Pahunch Nahin Paaya
Jab Ke Waan Umr Bhar Gaya Hoon Main
کبھی خود تک پہنچ نہیں پایا
جب کہ واں عمر بھر گیا ہوں میں
Tum Se Jaanaan Mila Hoon Jis Din Se
Be-Tarah, Khud Se Dar Gaya Hoon Main
تم سے جاناں ملا ہوں جس دن سے
بے طرح خود سے ڈر گیا ہوں میں
Koo–E–Jaanaan Mein Sog Barpaa Hai
Ke Achaanak, Sudhar Gaya Hoon Main
کوئے جاناں میں سوگ برپا ہے
کہ اچانک سدھر گیا ہوں میں
Read More:
Gahe Gahe Bas Ab Yehi Ho Kia – Jaun Elia Ghazal
Be Dili Kya Yunhi Din Guzar Jaeinge – Jaun Elia Ghazal
Kitne Aish Se Rehte Hongy Kitne Itrate Hongy – Jaun Elia Ghazal