Table of Contents
Dilon Mein Aag Labon Par Gulab Rakhte Hain
Rahat Indori Poetry/Ghazal
Dilon mein aag labon par gulab rakhte hain
Sab apne cheharon pe dohari nakaab rakhte hain
دلوں میں آگ لبوں پر گلاب رکھتے ہیں
سب اپنے چہروں پہ دہری نقاب رکھتے ہیں
Humain chiragh samajh kar bujha na paoge
Hum apne ghar mein kai aftab rakhte hain
ہمیں چراغ سمجھ کر بجھا نہ پاؤ گے
ہم اپنے گھر میں کئی آفتاب رکھتے ہیں
Bahut se log ki jo harf-aashna bhi nahi
Isi se khush hai keh teri kitab rakhte hain
بہت سے لوگ کہ جو حرف آشنا بھی نہیں
اسی میں خوش ہیں کہ تیری کتاب رکھتے ہیں
Ye maiqada hai, wo masjid hai, wo hai but-khaana
Kahin bhi jao farishte hisaab rakhte hain
یہ میکدہ ہے، وہ مسجد ہے، وہ ہے بت خانہ
کہیں بھی جاؤ فرشتے حساب رکھتے ہیں
Humare shehar ke manzar na dekh payenge
Yahan ke log to aankhon mein khwaab rakhte hain
ہمارے شہر کے منظر نہ دیکھ پائیں گے
یہاں کے لوگ تو آنکھوں میں خواب رکھتے ہیں