Table of Contents
Dil Soz Se Khali Hai, Nigah Pak Nahin Hai
(Bal-e-Jibril)
Dil Souz Se Khali Hai, Nigah Paak Nahin Hai
Phir Iss Mein Ajab Kya Ke Tu Be-Baak Nahin Hai
دل سوز سے خالی ہے نگہ پاک نہیں ہے
پھر اس میں عجب کیا کہ تو بے باک نہیں ہے
Hai Zauq-E-Tajali Bhi Issi Khaak Mein Pinhan
Ghafil! Tu Nira Sahib-E-Adraak Nahin Hai
ہے ذوق تجلی بھی اسی خاک میں پنہاں
غافل تو نرا صاحب ادراک نہیں ہے
Woh Ankh Ke Hai Surma’ay Afrang Se Roshan
Purkaar-O-Sukhan Saaz Hai, Nam Naak Nahin Hai
وہ آنکھ کہ ہے سرمۂ افرنگ سے روشن
پرکار و سخن ساز ہے نمناک نہیں ہے
Kya Sufi-O-Mullah Ko Khabar Mere Junoon Ki
Un Ka Sar-E-Daman Bhi Abhi Chaak Nahin Hai
کیا صوفی و ملا کو خبر میرے جنوں کی
ان کا سر دامن بھی ابھی چاک نہیں ہے
Kab Tak Rahe Mehkoomi-E-Anjum Mein Meri Khaak
Ya Main Nahin, Ya Gardish-E-Aflaak Nahin Hai
کب تک رہے محکومئ انجم میں مری خاک
یا میں نہیں یا گردش افلاک نہیں ہے
Bijli Hun, Nazar Koh-O-Bayanbaan Pe Hai Meri
Mere Liye Shayan-E-Khas-O-Khashaak Nahin Hai
بجلی ہوں نظر کوہ و بیاباں پہ ہے میری
میرے لیے شایاں خس و خاشاک نہیں ہے
Alam Hai Faqat Momin-E-Jaan Baaz Ki Miras
Momin Nahin Jo Sahib-E-Loulaak Nahin Hai
عالم ہے فقط مومن جانباز کی میراث
مومن نہیں جو صاحب لولاک نہیں ہے Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale Hain – Allama IqbalJab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud Agaahi – Allama Iqbal PoetryJab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud Agaahi – Allama Iqbal PoetryKabhi Aye Haqeeqat-e-Muntazir – Allama Iqbal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO