Dil Poetry in Urdu
2 Line Dil Poetry in Urdu – Heart Touching Poetry
2 Line Urdu Poetry Collection
Dil Na-Umeed Tou Nahi Nakam Hi Tou Hai
Lambi Hai Gham Ki Sham Magar Sham Hi Tou Hai
– Faiz Ahmed Faiz
Or Kya Dekhne Ko Baaki Hai
Aap Say Dil Laga Ke Dekh Liya
– Faiz Ahmed Faiz
Tumhara Dil Mere Dil Ke Barabar Ho Nahi Sakta
Woh Sheesha Ho Nahi Sakta Yeh Pathar Ho Nahi Sakta
– Daag Dehlvi
Aap Pehloo Mein Jo Bethain Tou Sambhal Kar Bethain
Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki
– Jalil Manik Puri
Har Dharakte Pathar Ko Log Dil Samajhte
Umrain Beet Jati Hain Dil Ko Dil Banane Mein
– Bashir Badr
Hum Ne Seene Say Lagya Dil Na Apna Ban Saka
Musakara Kar Tum Nay Dekha Dil Tumhara Ho Gaya
– Jigar Muradabadi
Tum Zamane Ki Rah Say Aye
Warna Seedha Tha Raasta Dil Ka
– Baqi Saddiqui
Dil Abad Kahan Reh Paye Uski Yaad Bhula Dene
Kamra Weraan Ho Jata Hai Ek Tasveer Hate Dene Se
– Jalil Aali
Muhabbat Rang De Jati Hai Jab Dil Dil Se Milta Hai
Magar Mushkil Tou Yeh Hai Dil Bari Mushkil Se Milta Hai
– Jalil Manikpuri
Ulfat Mein Barabar Hai Wafa Ho Keh Jafa Ho
Har Baat Mein Lazzat Hai Agar Dil Mein Maza Ho
– Ameer Minai
Dil Bhi pagal Hai Keh Us Shakhs Se Wabasta Hai
Ko Kisi Or Ka Hone De Na Apna Rakhe
– Ahmed Faraz
Mein Hoon Dil Hai Tanhai Hai
Tum Bhi Hote Acha Hota
– Firaq Gorakhpuri
Janta Hai Keh Woh Na Aein Ge
Phir Bhi Masroof Intizar Hai Dil
– Faiz Ahmed Faiz
Aap Doulat Ke Tarazoo Mein Dilon Ko Toulain
Hum Muhabbat Se Muhabbat Ka Sila Dete Hain
– Sahir Ludhianvi
Jane Wale Se Mulaqat Na Hone Payi
Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Payi
– Shakeel Badayuni