
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Dil Mein Rakhta Hai Na Palkon Pe Bithata Hai Mujhe
dil mein rakhta hai na palkon pe bithata hai mujhe
phir bhi ek shakhs mein kya kya nazar aata hai mujhe
دل میں رکھتا ہے نہ پلکوں پہ بٹھاتا ہے مجھے
پھر بھی اک شخص میں کیا کیا نظر آتا ہے مجھے
raat ka waqt hai suraj hai mera rah-numa
der se dur se ye kaun bulata hai mujhe
رات کا وقت ہے سورج ہے مرا راہنما
دیر سے دور سے یہ کون بلاتا ہے مجھے
meri in aankhon ko khwabon se pashemani hai
nind ke nam se jo haul sa aata hai mujhe
میری ان آنکھوں کو خوابوں سے پشیمانی ہے
نیند کے نام سے جو ہول سا آتا ہے مجھے
tera munkir nahin ai waqt magar dekhna hai
bichhde logon se kahan kaise milata hai mujhe
تیرا منکر نہیں اے وقت مگر دیکھنا ہے
بچھڑے لوگوں سے کہاں کیسے ملاتا ہے مجھے
qissa-e-dard mein ye baat kahan se aai
main bahut hansta hun jab koi sunata hai mujhe
قصۂ درد میں یہ بات کہاں سے آئی
میں بہت ہنستا ہوں جب کوئی سناتا ہے مجھے Badnaam Mere Pyar Ka Afsana Hua Hai – LyricsChaand Maddham Hai Aasmaan Chup Hai – Sahir LudhianviBaad Muddat Use Dekha Logo – Parveen Shakir PoetrySaher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga – NFAK
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO