Table of Contents
Dil Mein Ab Yun Tere Bhoole Huye Gham Aate Hain
Faiz Ahmad Faiz Shayari
Dil mein ab yun tere bhoole huye gham aate hain
Jaise bichde hue ka’abe mein sanam aate hain
دل میں اب یوں ترے بھولے ہوئے غم آتے ہیں
جیسے بچھڑے ہوئے کعبے میں صنم آتے ہیں
Ek ek karke hue jaate hai tare roshan
Meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
ایک اک کرکے ہوئے جاتے ہیں تارے روشن
میری منزل کی طرف تیرے قدم آتے ہیں
Raqs-e-mai tez karo saaz ki lae tez karo
Su-e-maikhaana safiraan-e-haram aate hain
رقصِ مے تیز کرو ، ساز کی لے تیز کرو
سوئے مے خانہ سفیرانِ حرم آتے ہیں
Kuch hamin ko nahi ahsan uthane ka dimagh
Woh tou jab aate hain, maail-ba-karam aate hain
کچھ ہمیں کو نہیں احسان اُٹھانے کا دماغ
وہ تو جب آتے ہیں ، مائل بہ کرم آتے ہیں
Aur kuch deir na guzre, shab-e-furqat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai woh yaad bhi kam aate hain
اور کچھ دیر نہ گزرے شبِ فرقت سے کہو
دل بھی کم دُکھتا ہے، وہ یاد بھی کم آتے ہی
Ab Aur Kya Kisi Se Marasim Barhain Hum – Ahmad Faraz Poetry
Jaane Tu Kya Dhundh Raha Hai Basti Mein – Ibn e Insha Shayari
Woh To Khushboo Hai Hawaon Main Bikhar Jayega – By Parveen Shakir
Hath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate – Rahat Indori Poetry