Table of Contents
Dil Khoon Hua Kahin to Kabhi Zakham Seh Gaye
Mohsin Naqvi Poetry
dil khoon hua kahin to kabhi zakham seh gaye
ab hadsey he apni wirasat mein reh gaye
دل خون ہوا کہیں تو کبھی زخم سہہ گئے
اب حادثے ہی اپنی وراثت میں رہ گئے
kehne ko ak sath he dooba hai qafila
kuch aks zer e aab magar teh ba teh gaye
کہنے کو ایک ساتھ ہی ڈوبا ہے قافلہ
کچھ عکس زیرِ آب مگر تہہ بہ تہہ گئے
patton se phoot ti hen hawaon ki hichkian
panchi harey shajar se ajab bat keh gaye
پتوں سے پھوٹتی ہیں ہواؤں کی ہچکیاں
پنچھی ہرے شجر سے عجب بات کہہ گئے
shayad wo bam o dar ko na soney den umar bhar
jo khawab ghar ki khak mein pewast reh gaye
شاید وہ بام و در کو نہ سونے دیں عمر بھر
جو خواب گھر کی خاک میں پیوست رہ گئے
Mohsin ghareeb log bhi tinkon ka dher hain
malbe me dab gae kabhi pani me beh gaye
محسن غریب لوگ بھی تنکوں کے ڈھیر ھیں
ملبے میں دب گئے کبھی پانی میں بہہ گئے Khud Waqt Mere Sath Chala Wo Bhi Thak Gaya – Mohsin NaqviTere Ird Gird Wo Shor Tha – Amjad Islam Amjad PoetryShab-E-Wasl Thi Chandni Ka Samaan Tha – Haider Ali AtishMarhale Shoq Ke Dushwar Howa Karte Hain – Mohsin Naqvi
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO