Table of Contents
Dil-e-nadan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard kee dawa kya hai
Ham hain mushtaaq aur woh bezaar
Ya Ilahi Yeh maajra kya hai
Main bhi muh me zabaan rakhataa hun
Kaash puchho ki mudda kyaa hai
Jab ki tujh bin naheen koyi maujood
Fir ye hangaama, ‘ei khuda ! Kya hai
Ye pari chehra log kaise hain
Gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai
Shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai
Nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
Sabz-o-gul kahaan se aaye hai
Abr kyaa chiz hai, havaa kyaa hai
Hamko unse wafa ki hai ummeed
Jo naheen jaante wafa kya hai
Haan bhalaa kar, teraa bhalaa hogaa
Aur daravesh ki sadaa kyaa hai
Jaan tum par nisaar karta hoon
Main naheen jaanata duaa kya hai
Maine maanaa ki kuchh nahi “Ghalib”
Muft haath aaye, to buraa kyaa hai