Dil-e-Be Khabar Zara Hosla – Urdu Poetry
Dil-e-be khabar zara hosla Nahi Mustaqil Koi Marhala
Koi aisa ghar bhi hai shehar mein, jahan har makeen ho mutmain
Koi aisa din bhi kahee’n pe hai, jisay khof-e-aamad-e-shab nahi
Ye jo gard baad-e-zamaa’n hai, ye azal se hai, koi ab nahi
دلِ بے خبر ، ذرا حوصلہ نہیں مُستقِل کوئی مَرحلہکوئی ایسا گھر بھی ہے شہر میں جہاں ہر مکین ہو مطمئنکوئی ایسا دن بھی کہیں پہ ہے جسے خوفِ آمدِ شب نہیںیہ جو گردبادِ زمان ہے یہ ازل سے ہے کوئی اب نہیں
Dil-e-be khabar, zara hosla__!
دلِ بے خبر ، ذرا حوصلہ
Ye jo khaar hain tere paao’n mein, ye jo zakhm hain tere hath mein
Ye jo khwab phirtay hain dar-ba-dar, ye jo bat uljhi hai bat mein
Ye jo log bethay hain ja-ba-ja, kisi an-banay se dayaar mein
Sabhi aik jese hain sar-giraa’n, gham-e-zindagi k fishar mein
Ye saraab yunhi sada se hain, isi raigzaar-e-hayat mein
Ye jo raat hai tere chaar-su, nahi sirf teri hi ghaat mein
یہ جو خار ہیں تیرے پاؤں میں، یہ جو زخم ہیں تیرے ہاتھ میںیہ جو خواب پھرتے ہیں در بہ در، یہ جو بات الجھی ہے بات میںیہ جو لوگ بیٹھے ہیں جا بہ جا، کسی ان بَنے سے دیار میںسبھی ایک جیسے ہیں سر گراں، غمِ زندگی کے فشار میںیہ سراب یونہی سدا سے ہیں، اسی ریگزارِ حیات میںیہ جو رات ہے تیرے چار سو، نہیں صرف تیری ہی گھات میں
Dil-e-be khabar, zara hosla__!
دلِ بے خبر ، ذرا حوصلہ
Tere saamnay wo kitab hai, jo bikhar gyi ho waraq waraq
Hmain apnay hissay k waqt mein, isay jorna hai sabaq sabaq
Hain ibaart’ain zara mukhtalif, magar aik asl-e-sawal hai
Jo samajh sako to ye zindagi, kisi haft-khwaa’n ki misaal hai
ترے سامنے وہ کتاب ہے، جو بکھر گئی ہے ورق ورقہمیں اپنے حصے کے وقت میں، اسے جوڑنا ہے سبق سبقہیں عبارتیں ذرا مختلف، مگر ایک اصلِ سوال ہےجو سمجھ سکو تو یہ زندگی، کسی ہفت خواں کی مثال ہے
Dil-e-be khabar zara hosla, nahi mustaqil koi marhala
دلِ بے خبر ، ذرا حوصلہ نہیں مُستقِل کوئی مَرحلہ
Kya ajab keh kal ko yaqeen banay, ye jo muztarab sa khayal hai
Kisi roshni mein ho munqalib, kisi sarkhushi ka naqeeb ho
Ye jo shab numa si hai be-dili, ye jo zard-ru sa malal hai
کیا عجب کہ کل کو یقیں بنے، یہ جو مضطرب سا خیال ہےکسی روشنی میں ہو منقلب، کسی سرخوشی کا نقیب ہویہ جو شب نما سی ہے بے دِلی، یہ جو زرد رو سا ملال ہے
Dil-e-be khabar zara hosla, nahi mustaqil koi marhala
دلِ بے خبر ، ذرا حوصلہ نہیں مُستقِل کوئی مَرحلہ
Gardishon Ke Hain Mare Huye Na – NFAK LYRICSTum Agar Yunhi Nazrain Milate Rahe – NFAK LYRICSKehte Ho Mujh Se Ishq Ka Afsana Chahiye – NFAK LYRICSSUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!