Dhup Mein Saya Bane Tanha Khade Hote Hain
dhup mein saya bane tanha khade hote hain
bade logon ke khasare bhi bade hote hain
دھوپ میں سایہ بنے تنہا کھڑے ہوتے ہیں
بڑے لوگوں کے خسارے بھی بڑے ہوتے ہیں ek hi waqt mein pyase bhi hain sairab bhi hain
hum jo sahraon ki mitti ke ghade hote hain ایک ہی وقت میں پیاسے بھی ہیں سیراب بھی ہیںہم جو صحراؤں کی مٹی کے گھڑے ہوتے ہیں aankh khulte hi jabin chumne aa jate hain
hum agar khwab mein bhi tum se lade hote hain آنکھ کھلتے ہی جبیں چومنے آ جاتے ہیںہم اگر خواب میں بھی تم سے لڑے ہوتے ہیں ye jo rahte hain bahut mauj mein shab bhar hum log
subh hote hi kinare pe pade hote hain یہ جو رہتے ہیں بہت موج میں شب بھر ہم لوگصبح ہوتے ہی کنارے پہ پڑے ہوتے ہیں hijr diwar ka aazar to hai hi lekin
is ke upar bhi kai kanch jade hote hain ہجر دیوار کا آزار الگ اپنی جگہاس کے اوپر بھی کئی کانچ جڑے ہوتے ہیں Ab Tak Shikayatein Hain Dil-e-Bad Naseeb Se – Shakeel BadayuniAawargi Mein Mohisn Is ko Bhi Hunar Jana – Mohsin NaqviUdaas Logon Se Pyar Karna Koi To Seekhe – Urdu Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO