Table of Contents
Dhoondata Phirta Hun Logon Se Bharay Lahore Mein
Heart Touching Urdu Poetry
Lahore Poetry
dhoondata phirta hun logon se bharay Lahore mein
kuch purane yaar mil jayen naye Lahore mein
ڈھونڈتا پھرتا ہوں لوگوں سے بھرے لاہور میںکچھ پُرانے یار مِل جائیں نئے لاہور میں mein nay mannat maan li hai aaj data ke huzoor
dekhna tum jald wapas aoge Lahore mein مَیں نے مَنَّت مان لی ہے آج داتا کے حضوردیکھنا تُم جلد واپس آؤ گے لاہور میں dana pani dhundnay sab ja base hain door dais
kya zamana tha ke saaray dost thay Lahore mein دانہ پانی ڈھونڈنے سب جابسے ہیں دُور دیسکیا زمانہ تھا کہ سارے دوست تھے لاہور میں Faiz , manto aur munir, Iqbal , nasir aur Nadim
haye kya kya walwalay abad they Lahore mein فیض، مَنٹو اور مُنیر، اقبال، ناصر اور ندیمہائے کیا کیا ولولے آباد تھے لاہور میں do hi shehron mein hain achi ankhen, hindustanio
ya tumahray lkhno mein ya mِre Lahore mein دو ہی شہروں میں ہیں اچھی آنکھیں، ہندوستانیویا تمہارے لکھنؤ میں یا مِرے لاہور میں aap shayad bhool baithy hain, mujhe to yaad hai
aik baar ankhen mِli theen aap se Lahore mein آپ شاید بھول بیٹھے ہیں، مُجھے تو یاد ہےایک بار آنکھیں مِلی تھیں آپ سے لاہور میں jane kis asaib ka saya hai mere shehar par
aaj kal lagtay nahi hain qehqahey Lahore mein جانے کس آسیب کا سایہ ہے میرے شہر پرآج کل لگتے نہیں ہیں قہقہے لاہور میں
Poet: Rehman Faris
Read More:
Ye Jo Lahore Se Mohabbat Hai – Urdu Poetry – UrduNama.Net
Mohabbat Chord Di Hum Ne – Urdu Sad Heart Broken Poetry
Pate Rahe Ye Faiz Teri Be-Rukhi Se Hum – Urdu Sad Poetry SUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!