Table of Contents
Deen-o-Siasat
Allama Iqbal Poetry | Bal-e-Jibril
Kalisa Ki Bunyad Ruhbaniyat Thi
Samati Kahan Iss Faqeeri Mein Meeri
کليسا کی بنياد رہبانيت تھی
سماتی کہاں اس فقيری ميں ميری
Khusoomat (Dushmani) Thi Sultani-o-Rahbi Mein
Ke Woh Sarbulandi Hai, Ye Sar-Bazairi
خصومت تھی سلطانی و راہبی ميں
کہ وہ سربلندی ہے يہ سربزيری
Siasat Ne Mazhab Se Peecha Chhuraya
Chali Kuch Na Peer-e-Kalisa Ki Peeri
سياست نے مذہب سے پيچھا چھٹرايا
چلی کچھ نہ پير کليسا کی پيری
Huwi Deen-o-Doulat Mein Jis Dam Judai
Hawas Ki Ameeri, Hawas Ki Wazeeri
ہوئی دين و دولت ميں جس دم جدائی
ہوس کی اميری ، ہوس کی وزيری
Dooyi Mulk-o-Deen Ke Liye Namuradi
Dooyi Chashm-e-Tehzeeb Ki Nabaseeri
دوئی ملک و ديں کے ليے نامرادی
دوئی چشم تہذيب کی نابصيری
Ye Ejaz Hai Aik Sehra Nasheen Ka
Basheeri Hai Aaeena-Dar-e-Nazeeri !
يہ اعجاز ہے ايک صحرا نشيں کا
بشيری ہے آئينہ دار نذيری
Issi Mein Hafazat Hai Insaniyat Ki
Ke Hon Aik Junaidi-o-Ardsheri
اسی ميں حفاظت ہے انسانيت کی
کہ ہوں ايک جنیدی و اردشيری
Ghulamon Ki Namaz – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry
Asrar-e-Paida | Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin Rehti
Imamat – Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se
Kabhi Ae Naujawan Muslim – Khatab Ba Jawanan-e-Islam
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO