Table of Contents
Chehra Dekhein Tere Hont Aur Palkein Dekhein
Tahzeeb Hafi Shayari
chehra dekhein tere hont aur palken dekhein
dil pe aankhein rakkhen teri sansein dekhein
چہرہ دیکھیں تیرے ہونٹ اور پلکیں دیکھیں
دل پہ آنکھیں رکھیں تیری سانسیں دیکھیں
surkh labon se sabz duaen phuti hain
pile phulon tum ko neeli aankhein dekhein
سرخ لبوں سے سبز دعائیں پھوٹی ہیں
پیلے پھولوں تم کو نیلی آنکھیں دیکھیں
sal hone ko aaya hai wo kab lautega
aao khet ki sair ko niklein kunjein dekhein
سال ہونے کو آیا ہے وہ کب لوٹے گا
آؤ کھیت کی سیر کو نکلیں کونجیں دیکھیں
thodi der mein jangal hum ko aaq karega
bargad dekhen ya bargad ki shakhein dekhein
تھوڑی دیر میں جنگل ہم کو عاق کرے گا
برگد دیکھیں یا برگد کی شاخیں دیکھیں
mere malik aap to sab kuchh kar sakte hain
sath chalen hum aur duniya ki aankhein dekhein
میرے مالک آپ تو سب کچھ کر سکتے ہیں
ساتھ چلیں ہم اور دنیا کی آنکھیں دیکھیں
hum tere honton ki larzish kab bhoole hain
pani mein pathar phenkein aur lahrein dekhein
ہم تیرے ہونٹوں کی لرزش کب بھولے ہیں
پانی میں پتھر پھینکیں اور لہریں دیکھیں
Ajeeb Khwab Tha Uske Badan Mein Kai Thi – Tahzeeb Hafi
Is Aik Dar Se Khwab Dekhta Nahi – Tehzeeb Haafi Poetry
Raat Ki Dharkan Jab Tak Jari Rehti Hai – Rahat Indori Poetry
Yahi Wafa Ka Sila Hai Tou Koi Baat Nahi – Sad Urdu Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO