Table of Contents
Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Muhaal Kar Diya
Parveen Shakir Poetry Collection
Chalne Ka Hosla Nahi, Rukna Muhaal Kar Diya
Ishq K Is Safar Ne To Mujh Ko Nihaal Kar Diya
چلنے کا حوصلہ نہیں ، رُ کنا محال کردیا
عشق کے اس سفر نے تو ، مجھ کو نڈھال کردیا
Milte Huwe Dilon K Beech Aur Tha Faisla Koi
Us Ne Magar Bicharte Waqt Aur Sawal Kar Diya
ملتے ہوئے دلوں کے بیچ اور تھا فیصلہ کوئی
اس نے مگر بچھڑتے وقت اور سوال کردیا
Ae Meri Gul Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Ehl-E-Kitab Ne Magar Kya Tera Haal Kar Diya
اے میری گل زمیں تجھے، چاہ تھی ایک کتاب کی
اہل کتاب نے مگر کیا تیرا حال کردیا
Ab Ke Hawa K Saath Hay Daaman-E-Yaar Muntazir
Banu-E-Shab K Haath Main Rakhna Sambhaal Kar Diya
اب کے ہوا کے ساتھ ہے دامانِ یار منتظر
بانوِ شب کے ہاتھ میں رکھنا سنبھال کردیا
Mumkina Faislon Main Aik Hijar Ka Faisla Bhi Tha
Ham Ne To Aik Baat Ki, Us Ne Kamaal Kar Diya
ممکناں فیصلوں میں ایک ہجر کا ایک فیصلہ بھی تھا
ہم نے تو ایک بات کی اس نے تو کمال کردیا
Mere Labon Pe Mohar Thi Par Mere Sheesha Rooh Ne To
Shehar K Shehar Ko Mera Waqif-E-Haal Kar Diya
میرے لبوں پہ مُہر تھی پر میرے شیشہ رو نے تو
شہر کے شہر کو میرا واقف حال کردیا
Chehra-O-Naam Aik Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Waqt Ne Kis Shabeeh Ko Khawab-O-Khayaal Kar Diya
چہرہ و نام ایک ساتھ آج نہ یاد آسکے
وقت نے کس شبیہ کو خواب و خیال کردیا
Muddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gilla Kiya
Mansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahaal Kar Diya
مدتوں بعد اس نے آج مجھ سے کوئی گِلا کیا
منسبِ دلبری پہ کیا مجھ کو بحال کردیا
Kuch Tou Hawa Bhi Sard Thi – Parveen Shakir Poetry Collection
Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya – Mohsin Naqvi
Hath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate – Rahat Indori Poetry