Table of Contents
Buhat Roya Wo Hum Ko Yaad Kar Ke
By Parveen Shakir
buhat roya wo hum ko yaad kar ke
hamari zindagi barbaad kar ke
بہت رویا وہ ہم کو یاد کر کےہماری زندگی برباد کر کے
palat kar phir yahin aa jaenge hum
wo dekhe to hamein azad kar ke
پلٹ کر پھر یہیں آ جائیں گے ہموہ دیکھے تو ہمیں آزاد کر کے
rihai ki koi surat nahin hai
magar han minnat-e-sayyaad kar ke
رہائی کی کوئی صورت نہیں ہےمگر ہاں منت صیاد کر کے
badan mera chhua tha us ne lekin
gaya hai rooh ko aabaad kar ke
بدن میرا چھوا تھا اس نے لیکنگیا ہے روح کو آباد کر کے har aamir tul dena chahta hai
muqarrar zulm ki miad kar ke ہر آمر طول دینا چاہتا ہےمقرر ظلم کی میعاد کر کے Kamal-e-Zabt Ko Khud Bhi Tou Azmaungi – Parveen Shakir PoetryAb Ke Barish Mein Tou Yeh Kar-e-Ziyan hona Hi Tha – Mohsin Naqvi ShayariRoz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai – Rahat Indori Ghazal